Sunday, October 24, 2010

Standard Collection Of good Poems is Given Below..

Yaar ko main ne mujhe yaar ne sone na diyaa
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa 
raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa 

[taali'-e-bedaar = good fortune] 

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib 
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa 

raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se 
mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa
By Haider Ali Aatish
ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate 
ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karate 

[ruu-ba-ruu = in front of; guftaguu = conversation] 

payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa 
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate 

[mayassar = available; shar = mischief] 

merii tarah se maah-o-mahar bhii hai.n aavaaraa 
kisii habiib ko ye bhii hai.n justajuu karate 

[maah-o-mahar = moon and sun; habiib = friend]

jo dekhate terii za.njiir-e-zulf kaa aalam 
asiir hone ke aazaad aarazuu karate 

[asiir = prisoner] 

na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish" 
barasatii aag me.n jo baaraa.N kii aarazuu karate 

[baragashtaa = turn around/against; baaraa.N = rain]
[taali-e-aatish = burning fate]
By Haider Ali Aatish
maikadaa thaa chaaNdanii thii main na thaa
maikadaa thaa chaa.Ndanii thii mai.n na thaa 
ik mujassam beKhudii thii mai.n na thaa 

ishq jab dam to.Dataa thaa tum na the 
maut jab sar dhun rahii thii mai.n na thaa 

tuur par chhe.Daa thaa jis ne aap ko 
vo merii diivaa.ngii thii mai.n na thaa 

maikade ke mo.D par rukatii hu_ii 
muddato.n kii tashnagii thii mai.n na thaa 

mai.n aur us Gunchaadahan kii aarazuu 
aarazuu kii sadagii thii mai.n na thaa 

gesuuo.n ke saaye me.n aaraam-kash 
sar-barahanaa zindagii thii mai.n na thaa 

dair-o-kaabaa me.n "Adam" hairat-farosh 
do jahaa.N kii bad_zanii thii mai.n na thaa
By Abdul Hamid Adam
 
honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye 
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye 

hairaan hain lab_bastaa hain, dil_giir hain Gunche 
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye 

lamhaat-e-masarrat hain tasavvur se gurezaaN 
yaad aae hain jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye 

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa 
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye 

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamon ke 
kaam aaye jo duniyaa mein to is naam hii aaye 

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaron se 
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye 

thak haar ke baiThe hain sar-e-kuu-e-tamannaa 
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye 

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuuN kii 
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
By Ada Badyuni
dil ajab gumbad ki jis mein ik kabuutar bhii nahiin
dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n
itanaa viraa.N to murdaaro.n kaa muqaddar bhii nahii.n

[murdaar = dead people]

Duubatii jaatii hai.n miTTii me.n badan kii kashtiyaa.N
dekhane me.n ye zamii.n ko_ii samandar bhii nahii.n

jitane hangaame the suukhii Tahaniyo.n se jha.D gaye
pe.D par phal bhii nahii.n aa.Ngan me.n patthar bhii nahii.n

Khushk Tahanii par parindaa hai ki pattaa hai 'Adeem'
aashiyaanaa bhii nahii.n jis kaa ko_ii par bhii nahii.n

jitanii pyaarii hai.n merii dharatii jo zanjiire.n 'Adeem'
itanaa pyaaraa to kisii dulhan ko zevar bhii nahii.n

By Adeem Hashmi
faasale aise bhii honge ye kabhii sochaa na thaa
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa 
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa 

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu 
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa 

raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii 
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the 
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa 

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye 
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa 

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n 
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa 

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem" 
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa.
By Adeem Hashmi
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

[tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship]

har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai

[hijr = separation; Gunche = flower buds]
[gul_daan = flower vase]
By Afzal Firdaus
karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa 
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa 

[karb=vexation/anguish] 

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n 
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa 

[malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form] 

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n 
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa 

zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa 
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa 

[ataraaf=all around] 

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar 
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa 

[gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume] 

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal" 
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa... 

[dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]
By Afzal Minhas
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii 
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii 

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking] 

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii 
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii 

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar 
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii 

[muattar=full of itr] 

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare 
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii 

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak 
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
By Aga Hashr
koii cheharaa huaa roshan na ujaagar aaNkhen
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n

le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n

phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n

us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n

tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n

log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n.
By Ahmed Kamal
aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hii se mushkil hai 
sabr karanaa abhii se mushkil hai 

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye 
dushmanii dostii se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n 
bevafaa_ii usii se mushkil hai 

ek do duusare se sahel na jaan 
har ko_ii har kisii se mushkil hai 

[sahel=approachable] 

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasii us galii se mushkil hai
Ahmed Faraz
ab ke ham bichhaDe to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n 
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii 
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n 

[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad] 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa 
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n 

[hijaab - veil, here it means barrier] 

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo 
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n 

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par 
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n 

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n 

[maazii=past; saraab - illusion, mirage]
Ahmed Faraz
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun 
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun 

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge 
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun 

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai 
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun 

[maharuum=deprived; shajar=tree] 

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa 
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun 

[chiraaG-e-shab=night lamp] 

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko 
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun 

[fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city's enemy]
Ahmed Faraz
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa 
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa 

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii 
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa 

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n 
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa 

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii 
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa 

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n 
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa 

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n 
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa 

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye 
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa 

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the 
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa 

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii 
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa 

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke 
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa 

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit 
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa 

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan 
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa 
Ahmed Faraz
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa 

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n 
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa 

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa 
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa 

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar 
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
Ahmed Faraz
payaam aaye hai.n us yaar-e-bevafaa ke mujhe
payaam aaye hai.n us yaar-e-bevafaa ke mujhe 
jise qaraar na aayaa kahii.n bhulaa ke mujhe 

nashe se kahuu.N to nahii.n yaad-e-yaar kaa aalam 
ke le u.Daa hai ko_ii dosh par havaa ke mujhe 

judaa_iyaa.N ho.n to aisii ki umr bhar na mile 
fareb to do zaraa sil_sile ba.Daa ke mujhe 

mai.n Khud ko bhuul chukaa tha magar jahaa.N vaale 
udaas chho.D gaye aa_iinaa dikhaake mujhe
Ahmed Faraz
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa 
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham 
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa 

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum 
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa 

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n 
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa 

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan
always sings them as part of this Gazal.

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
chupake se kisii roz jataane ke liye aa 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane 
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
Ahmed Faraz
saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale
saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale
ham ko jaanaa hai kahii.n shaam se pahale pahale

Khush huaa ai dil ke muhabbat to nibhaa dii tuune
log uja.D jaate hai.n anjaam se pahale pahale

ab tere zikr pe ham baat badal dete hai.n
kitanii raGabat thii tere naam se pahale pahale

saamane umr pa.Dii hai shab-e-tanhaa_ii kii 
vo mujhe chho.D gayaa shaam se pahale pahale
Ahmed Faraz
sakuut-e-shaam-e-Khizaa.N hai qariib aa jaao
sakuut-e-shaam-e-Khizaa.N hai qariib aa jaao 
ba.Daa udaas samaa.N hai qariib aa jaao 

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa 
na aitabaar-e-jahaa.N hai qariib aa jaao 

raah-e-talab me.n kisii ko dhyaan nahii.n 
hujuum-e-ham_safaraa.N hai qariib aa jaao 

jo dasht-e-ishq me.n bichha.De.n vo umr bhar na mile 
yahaa.N yahaa.N dhuaa.N hii dhuaa.N hai qariib aa jaao 

ye aa.Ndhiyaa.N hai.n to shahar-e-vafaa kii Khair nahii.n 
zamaanaa Khaak_fashaa.N hai qariib aa jaao 

faaqih-e-shahar kii majalis nahii.n ke duur raho 
ye bazm-e-piir-e-maGaa.N hai qariib aa jaao 

'Faraz' duur ke suuraj Garuub samajhe gaye 
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao 
Ahmed Faraz
sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n
sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n 
so us ke shahar me.n kuchh din Thahar ke dekhate hai.n 

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalo.n se 
so apane aap ko barbaad karake dekhate hai.n 

[rabt=closeness/relation] 

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii 
so ham bhii us kii galii se guzar kar dekhate hai.n 

[gaahak=customer] 

sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf 
so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n 

[shagaf=passion] 

sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Date hai.n 
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n 

sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai 
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n 

sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.Nkhe.n 
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai din ko use titaliyaa.N sataatii hai.n 
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n 

sunaa hai raat se ba.Dh kar hai.n kaakule.n us kii 
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hai.n 

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai 
so us ko surmaafarosh aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalate hai.n 
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa 
jo saadaa dil hai.n ban sa.Nvar ke dekhate hai.n 

sunaa hai jab se hamaa_il hai.n us kii gardan me.n 
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n 

[hamaail=something to wear around the neck] 

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n 
palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n 

[zaave=angles] 

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n 
ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n 

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n 
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n 

[sarv-qad=tall and graceful; shaguufe=bud; samar=fruit] 

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa 
so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n 

[rah_ravaa.N=travellers] 

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht 
makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n 

[shabistan=bedroom; muttasil=near; makiin=tenant] 

ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n 
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n 

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe 
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n 

[be-pairahan=without clothes] 

kahaaniyaa.N hii.n sahii sab mubaalaGe hii sahii 
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hai.n 

[mubaalaGe=beyond one's limits] 

ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N 
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n 
Ahmed Faraz
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa 
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa 

maqaam-e-suud-o-ziyaa.N aa gayaa hai phir jaanaa.N 
ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa 

yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa 
ki buu.Nd buu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa 

Guruur-e-dost se itanaa bhii dil_shikastaa na ho 
phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa 

nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai 
'Faraz' jaa.N ke evaz aabaruu bachaa le jaa
Ahmed Faraz
ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
'Faraz' tujh ko na aa_ii.n muhabbate.n karanii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa_ii kii sa'ate.n karanii

ko_ii Khudaa ho ke patthar jise bhii ham chaahe.n
tamaam umr usii kii ibaadate.n karanii

sab apane apanee qariine se muntazir us ke
kisii ko shukr kisii ko shikaayate.n karanii

ham apane dil se hai.n majabuur aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamate.n karanii

mile.n jab un se to mubaham sii guftaguu karanaa
phir apane aap se sau-sau vazaahate.n karanii

ye log kaise magar dushmanii nibhaate.n hai.n
hamii.n ko raas na aa_ii.n muhabbate.n karanii

kabhii 'Faraz' naye mausamo.n me.n ro denaa
kabhii talaash puraanii raqaabate.n karanii
Ahmed Faraz
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n 
ye tazkire.n terii lutf ke hai.n ye sher terii shikaayate.n hai.n 
mai.n sab terii nazr kar rahaa huu.N ye un zamaano.n kii s'ate.n hai.n 
jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz yaad aaye.N 
to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaaye.N 
udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye apasaraaye.N 

[tazkire.n=mention; s'ate.n=moments] 
[anfaas=breaths; qabaaye.N=long coats] 

mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa huu.N 
hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa huu.N 
mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret chhaanataa huu.N 
magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa banii hai 
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa banii hai 
ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai 

aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n 
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n 
jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere hai.n 
vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii thii 
vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii thii.n 
vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane nasiib sii thii.n 

[mataa=things; qurbat=nearness] 
[roz-o-shab=day and night; muGannii=singer] 
[Khusro-vaanaa=king-like; Khvaahishe.n=desires] 

na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D chukaa hai 
vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D chukaa hai 
vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D chukaa hai 

[kohakan=another name for Farhaad; teshaa=axe]
Ahmed Faraz
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham 
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham 

ham sar-e-chaak-e-vafaa hai.n aur teraa dast-e-hunar 
jo banaa degaa hame.n ai yaar ban jaaye.nge ham 

kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq me.n 
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaaye.nge ham 

saKht jaan hai.n par hamaarii ustavaarii par na jaa 
aise TuuTe.nge teraa iqaraar ban jaaye.nge ham 

aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaa.N me.n hame.n 
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaaye.nge ham 

is qadar aasaa.N na hogii har kisii se dostii 
aashnaa_ii me.n teraa mayaar ban jaaye.nge ham 

miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahii.n faiz-o-firaaq 
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaaye.nge ham 

dekhane me.n shaaKh-e-gul lagate hai.n lekin dekhanaa 
dast-e-gul_chii.n ke liye talvaar ban jaaye.nge ham 

ham chiraaGo.n ko to taariikii se la.Danaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaaye.nge ham 
Ahmed Faraz
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n 
jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n 

kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale 
ab vahii log hame.n aabalaapaa kahate hai.n 

ko_ii batalaao ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub 
ittefaaqan kahii.n mil jaaye to kyaa kahate hai.n 

ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii 
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hai.n 

jab talak duur hai tuu terii parastish kar le.n 
ham jise chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n 

kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz' 
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n
Ahmed Faraz
jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii
jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii 
dil magar is pe vo dha.Dhakaa ki qayaamat kar dii 

tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa 
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii 

mai.n to samajhaa thaa ki lauT aate hai.n jaane vaale 
tuune jaakar to judaa_ii merii qismat kar dii 

mujh ko dushman ke iraado.n pe bhii pyaar aataa hai 
terii ulfat ne muhabbat merii aadat kar dii 

puuchh baiThaa huu.N mai.n tujh se tere kuuche kaa pataa 
terii haalat ne kaisii terii surat kar dii
Ahmed Nadeem Qasmi
vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the 
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the 

[Khushk=dry; chand=few; shajar=tree; fasl-e-gul=spring] 

abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa 
abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the 

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii 
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the 

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe 
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the 

shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii 
pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the 

[shab-e-Khaamosh=silent night; dasht=desert] 

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar 
jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the 

[hayaat=life; gurezaa.N=to run away from] 

naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the 

[zahan=mind] 

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n 
puraane log naye aadamii se Darate the 

[iratiqaa=progressive] 

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii 
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
Ahmed Nadeem Qasmi
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N
bikharaa hu_aa hayaat kaa daftar sameT luu.N

[vaqt-e-safar = time to travel; qariib = near; bistar = bedding]
[sameTanaa = to gather; bikharaa hu_aa = scattered; hayaat = life]

phir jaane ham mile.n na mile.n ik zaraa ruko
mai.n dil ke aa_iine me.n ye manzar sameT luu.N

[manzar = scene/view]

Gairo.n ne jo suluuk kiye un kaa kyaa gilaa
phe.nke hai.n dosto.n ne jo patthar sameT luu.N

[Gair = stranger/rival; suluuk = conduct/behaviour]
[gilaa = complaint]

kal jaane kaise ho.nge kahaa.N ho.nge ghar ke log
aa.Nkho.n me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N

sail-e-nazar bhii Gam kii tamaazat se Khushk ho
vo pyaas hai mile to samandar sameT luu.N

[sail = flood; sail-e-nazar = tears; tamaazat = heat; Khushk = dry]

'Ajmal' bha.Dak rahii hai zamaane me.n jitanii aag
jii chaahataa hai siine ke andar sameT luu.N
Ajmal Ajmali
hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai
hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai 
Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai 

naa-tajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n 
is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhii pii hai 

us mai se nahii.n matalab dil jis se hai begaanaa 
maqasuud hai us mai se dil hii me.n jo khi.nchatii hai 

vaa.N dil me.n ki sadame do yaa.N jii me.n ke sab sah lo 
un kaa bhii ajab dil hai meraa bhii ajab jii hai

har zarraa chamakataa hai anavaar-e-ilaahii se 
har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Khudaa bhii hai

suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n 
but ham ko kahe kaafir allaah kii marzii hai 

Akbar Allahabadi
achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai
achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai
ham mare jaate hai.n tum kahate ho haal achchhaa hai

tujh se maa.Nguu.N mai.n tujhii ko ki sab kuchh mil jaaye
sau savaalo.n se yahii ek savaal achchhaa hai

dekh le bul_bul-o-paravaanaa kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai

aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
dil me.n jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai
Ameer Minai
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat kii tabiyat me.n 
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai

ke jitanii puraanii jitanii bhii mazabuut ho jaaye
ise taa_iid-e-taazaa kii zaruurat phir bhii rahatii hai
yaqii.n kii aaKhirii had tak dilo.n me.n lah_lahaatii ho
nigaaho.n se Tapakatii ho lahuu me.n jag_magaatii ho
hazaaro.n tarah se dil_kash hasiin haale banaatii ho
use izhaar ke lafzo.n kii haajat phir bhii rahatii hai

mohabbat maa.Ngatii hai yuu.N gavaahii apane hone kii
ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye
aur shab me.n bauraa uThe
zamii.n ko khod kar dekhe 
ke paudhaa ab kahaa.N tak hai

mohabbat kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai
ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii
bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa'at ho
ise bas ek hii dhun hai 
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuchh aisii besakuunii hai vafaa kii sar_zamii.no.n me.n
ke jo ahal-e-mohabbat ko sadaa bechain rakhatii hai
ke jaise phuul me.n Khsuhbuu ke jaise haath me.n taaraa
ke jaise shaam kaa taaraa
mohabbat karane vaalo.n kii sahar raato.n me.n rahatii hai
gumanaam ke shaaKhcho.n me.n aashiyaa.N banataa hai ulfat kaa
ye ain visaal me.n bhii hijr ke Khadsho.n me.n rahatii hai

mohabbat ke musaafir zindagii jab kaaT chukate hai.n
thakan kii karachiyaa.N chunate vafaa kii ajarake.n pahane
samay kii rah_guzar kii aaKhirii sarhad pe rukate hai.n
to ko_ii Duubatii saa.Nso.n kii Dorii thaam ker
dhiire se kahataa hai
ke ye sach hai naa
hamaarii zindagii ik duusare ke naam likhii thii
dhundhalakaa saa jo aa.Nkho.n ke qariib-o-duur phailaa hai
isii kaa naam chaahat hai
tumhe.n mujh se mohabbat thii
tumhe.n mujh se mohabbat hai

mohabbat kii tabiyat me.n
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai
Amjad Islam Amjad
main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye 
na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat Dhal na jaaye 

mere ashk bhii hai.n is me.n ye sharaab ubal na jaaye 
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye 

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii 
teraa rind girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye 

merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa 
tere aane kii Khushii me.n meraa dam nikal na jaaye 

mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa 
ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye
Anwar Mirzapuri
baraay-e-naam sahii ko_ii mehar_baan to hai
baraay-e-naam sahii ko_ii mehar_baan to hai
hamaare sar pe bhii hone ko aasamaan to hai

terii faraaKh_dilii ko duaaye.n detaa huu.N
mere labo.n pe tere lams kaa nishaan to hai

[faraaKh_dilii = large hearted]

ye aur baat ki vo ab yahaa.N nahii.n rahataa
magar ye us kaa basaayaa huaa makaan to hai

alaavaa is ke na kuchh aur pardaa rakh mujh se
fasiil-e-jism mere tere darmiyaan to hai

[alaavaa = other than; fasiil = rampart/wall/barrier]

bichha.D ke zindaa nahii.n rah sake.nge ham dono.n
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai

[vaham = imagination/conjecture; gumaan = doubt/suspicion]

saro.n pe saayaa_fiGan abr-e-aarazuu na sahii
hamaare paas saraabo.n kaa saayabaan to hai

gul-e-muraad nahii.n sang-haaye-tifl sahii
Gariib-e-shahar kaa aaKhir kisii ko dhyaan to hai

[muraad = desire; sang = stone; tifl = child]
Aqeel Shadab
kachchii diivaar huu.N Thokar na lagaanaa mujh ko
kachchii diivaar huu.N Thokar na lagaanaa mujh ko 
apanii nazaro.n me.n basaa kar na giraanaa mujh ko 

tum ko aa.Nkho.n me.n tasavvur kii tarah rakhataa huu.N  
dil me.n dha.Dakan kii tarah tum bhii basaanaa mujh ko 

baat karane me.n jo mushkil ho tumhe.n mahafil me.n 
mai.n samajh jaa_uu.Ngaa nazaro.n se bataanaa mujh ko 

vaadaa utanaa hii karo jitanaa nibhaa sakate ho 
Khvaab puuraa jo na ho vo na dikhaanaa mujh ko 

apane rishte kii nazaakat kaa bharam rakh lenaa 
mai.n to aashiq huu.N diivaanaa na banaanaa mujh ko
Asrar Ansari
lamhon ke aazaab sah rahaa huuN
lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N

zaKhmo.n ke gulaab khil rahe hai.n
Khushbuu ke hujuum me.n kha.Daa huu.N

is dasht-e-talab me.n ik mai.n bhii
sadiyo.n kii thakii hu_ii sadaa huu.N

benaam-o-numuud zindagii kaa
ik bojhaa uThaaye phir rahaa huu.N

ik aisaa chaman hai jis kii Khushbuu
saa.Nso.n me.n basaaye phir rahaa huu.N

ik aisii zamii.n hai jis ko chhuukar
takadiis-e-haram se aashnaa huu.N

ai mujh ko fareb dene vaale
mai.n tujh par yaqiin kar chukaa huu.N

mai.n tere qariib aate aate
kuchh aur bhii duur ho gayaa huu.N
Athar Nafees
vo ishq jo ham se ruuTh gayaa ab us kaa haal bataayeN kyaa
vo ishq jo ham se ruuTh gayaa ab us kaa haal bataaye.N kyaa 
ko_ii mehar nahii.n ko_ii qahar nahii.n phir sachchaa sher sunaaye.N kyaa 

ik hijr jo ham ko laahak hai taa der use doharaaye.N kyaa 
vo zahar jo dil me.n utaar liyaa phir us ke naaz uThaaye.N kyaa 

ik aag Gam-e-tanhaa_ii kii jo saare badan me.n phail ga_ii 
jab jism hii saaraa jalataa ho phir daaman-e-dil ko bachaaye.N kyaa 

ham naGmaasaraa kuchh Gazalo.n ke ham surat_gar kuchh Khvaabo.n ke 
bejazbaa-e-shauq sunaaye.N kyaa ko_ii Khvaab na ho to bataaye.N kyaa 

Athar Nafees
dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
vaqt ik din chiin kar saare hunar le jaayegaa

[azm-e-safar =strength to travel; hunar = knowledge/skills]

haa.N duaa maa.Ngii thii lekin ye to sochaa bhii na thaa
mausam-e-barasaat sab diivaar-o-dar le jaayegaa

aaj is titalii ko in phuulo.n pe u.Dane diijiye
kal ko_ii jho.nkaa havaa kaa is ke par le jaayegaa

[titalii = butterfly; par = wing]

tuu kisii andhe kuye.N me.n jaaye to ye jaan le
saath saath apane ye merii bhii nazar le jaayegaa

[ku_aa.N = well; nazar = sight]

duusaro.n ke ghar me.n patthar phe.nkane vaale ye soch
tuu bachaa kar kis tarah shiishe kaa ghar le jaayegaa

shahar kii sa.Dako.n pe mere saath mat nikalo abhii
jo bhii dekhegaa u.Daa kar ye Khabar le jaayegaa

sar-bulandii jis kaa manasab hai vo jhuk sakataa nahii.n
dast-e-qaatil us kaa Khud neze pe sar le jaayegaa

[sar-bulandii = to keep one's head high]
[dast-e-qaatil = hands of the killer; nezaa = spear]
Ameem Amrohvi
firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye
firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye 
subuk huye hai.n to aish-e-malaal se bhii gaye 

jo but-kade me.n the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal 
haram me.n aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye 

usii nigaah kii narmii se Dag-magaa gaye qadam 
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye 

Gam-e-hayaat-o-Gam-e-dost kii kashaakash me.n 
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii gaye 

vo log jin se terii bazm me.n the ha.ngaame 
gaye to kyaa terii bazm-e-Khayaal se bhii gaye 

ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa 
ke par-shikasto.n me.n apanii misaal se bhii gaye 

charaag-e-bazm abhii jaan-e-a.njuman na bujhaa 
ke ye bujhaa to tere khad-o-Khaal se bhii gaye 
Aziz Hamid Madni
zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n
zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n 
Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aate hai.n 
 
phir bahaaro.n kii zaruurat nahii.n rahatii un ko 
ye Khizaa.N me.n bhii ba.Dii shaan se khil jaate hai.n 

Guu.Nche vo milatii nahii.n hai jinhe.n aagosh ko_ii 
vahii miTate hai.n to kiicha.D me.n kamal aate hai.n 

Dab-Dabaa_ii hu_ii aa.Nkho.n me.n na aa.Nnkhe.n Daalo 
in me.n tuufaan hai.n chhe.D se machal jaate hai.n 

vo jo kal raunaq-e-faanuus thii aiwaan ke liye 
aaj us shammaa se aiwaan dahal jaate hai.n 

dhuup thii tez to saaye bhii the paro.n ke tale 
is ke Dhalate hii ruKh in ke bhii badal jaate hai.n 

hamane samajhaa hai zamaane ko ba.Dii der ke baad 
ye vo Kha.njar hai.n jo apano pe bhii chal jaate hai.n 

hamako aataa nahii.n zaKhmo.n kii numaa_ish karanaa 
Khud hii rote hai.n ta.Dapate hai.n bahal jaate hai.n 

jo samajhate hai.n hawabis ko vo khilona kii tarah 
un se tuufaan bhii bach-bach ke nikal jaate hai.n 
 
azm-vaale kabhii himmat nahii.n haaraa karate 
ashk 'Azra' ke ye kah kah ke samhal jaate hai.n 

No comments:

Post a Comment