kabhii nekii bhii us ke jii me.n aa jaaye hai mujh se
jafaaye.n kar ke apanii yaad sharmaa jaaye hai mujh se
[Mirza Ghalib]
ye bhii naachaar jii kaa khonaa hai
sharm se paanii paanii honaa hai
[Mirza Ghalib]
Gair ko yaarab vo kyo.n kar manaa-e-gustaaKhii kare
gar hayaa bhii us ko aatii hai to sharmaa jaaye hai
[Mirza Ghalib]
husn aur us pe husn-e-zan rah ga_ii bul_havas kii sharm
apane pe etimaad hai Gair ko aazamaaye kyuu.N
[Mirza Ghalib]
No comments:
Post a Comment