Jane Kyun!!!!
Jane kyun aj phir dil udass hai
Jane kyun kisi ka intazar hai
Jane kyun aj phir usse se pyaar hia
Jo apna hoke bhi anjan hai
Jane kyun usse ki yaad aj phir aye
Uske jhoote wade aur de hoye ruswaye
Jane kyun aj aik arse ke baad us bewafa ki yaad aye
Aur na jane kyun aj phir dil per hai udasi chaye!!!
"Kash unhe humare pyar per yakeen hota,
Na vo bewafaye kertay na hum juda hotay!"
"Humne zindage mein aik baar dkokar khaye,
ab sabhal ke chale gey.
Pehle pyar kiya tha,
ab nafrat ker ke dekhgey!"
"Ay mere dosto mojay chor ke na jana koi
humesha rahe gey saath, alag ker sakega na koi
hum door ho jaye gey
per juda na hogey
ye dunya bhale hay zalim hai
par humari doste mita na sakega koi."
"Us bewafa ki aj yaad aye,
pata nahi kyun lakin vo shakal mere samne aye,
kitna bhoolna chaha tha maine
per phir kal ke yaad aj yaad agaye!"
"Dosto ke saath waqt rukta nahi,
bin unke waqt guzarta nahi,
eh Allah kya karo mai es waqt ka,
ye huamre baat sunata hy nahi!"
"Us bewafa ki bewafaye aik dum yaad aye,
kub se jo aansoo dil mein chupaye thay
aj vo aankhon mein aagaye!"
Ankh nay kaha k a bewafa Ansoo
Ankh nay kaha k a bewafa Ansoo,
kahan Chal diay mujhay Chor K...
ansoo nay kaha K a ankh mat ho Udas...
K Mujh ko to jana hai Aur mit jana hai..
Par jatay Jatay Tera dard lay jaon Ga..
Mujh ko to jana hai taray labon ko chu jana hai,,,
Taray labon ko Chu k tera Dard Lay jaon ga.
mat ho udas k Taray labon ko chu jaon ga...
Tera dard Samet Lay jaon Ga,..
Kash k rehaan ye ansoo,, apnay Sath babasi aur dard bhi Lay jatay...
jatay jatay Mara Dard Ko kam kar Jatay,
Kash ye Ansoo.....
Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha
Mohabbat main itna door nikal jayenge kabhi socha na tha
Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge kabhi socha na tha
Zamane se tanha hi takrayen ge kabhi socha na tha
Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the
Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha
Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai
Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha
Yehi Wafaa ka silah hai, to koi baat nahi
Yehi Wafaa ka silah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai k tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e- dil main chupa k tumko
Woh ghar tumne chor diya hai, to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tord diya hai, to koi baat nahi
Kis k majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai, to koi baat nahi
No comments:
Post a Comment