Tuesday, October 26, 2010

Sitaron Se Aage Jahan Aur bhi Hai

Sitaron Se Aage Jahan Aur bhi Hai..!!

saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n



saKhtiyaa.N karataa huu.N dil par Gair se Gaafil huu.N mai.n
haay kyaa achchhii kahii zaalim huu.N mai.n jaahil huu.N mai.n

[Gaafil=unaware/inattentive; zaalim=tyrant; jaahil=illiterate]

** Gaafil also means negligent/careless as used in the next sher**

hai merii zillat hii kuchh merii sharaafat kii daliil
jis kii Gafalat ko malak rote hai.n vo Gaafil huu.N mai.n

[zillat=insult; Gafalat=carelessness/negligence]
[malak=angel; Gaafil=one who is negligent]

bazm-e-hastii apanii aaraa_ish pe tuu naazaa.N na ho
tuu to ik tasviir hai mahafil kii aur mahafil huu.N mai.n

[aaraa_ish=decoration; naazaa.N=proud/arrogant]

Dhuu.NDhataa phirataa huu.N ai "Iqbal" apane aap ko
aap hii goyaa musaafir aap hii ma.nzil huu.N mai.n

[goyaa=as if]

......


sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n


sitaaro.n se aage jahaa.N aur bhii hai.n
abhii ishq ke imtihaa.N aur bhii hai.n


taahii zindagii se nahii.n ye fazaaye.n
yahaa.N saika.Do.n kaaravaa.N aur bhii hai.n


kanaa'at na kar aalam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhii, aashiyaa.N aur bhii hai.n


agar kho gayaa ek nasheman to kyaa Gam
maqaamaat-e-aah-o-fugaa.N aur bhii hai.n


tuu shahii.n hai parwaaz hai kaam teraa
tere saamane aasmaa.N aur bhii hai.n


isii roz-o-shab me.n ulajh kar na rah jaa
ke tere zamiin-o-makaa.N aur bhii hai.n


gae din kii tanhaa thaa mai.n a.njuman me.n
yahaa.N ab mere raazadaa.N aur bhii hai.n

.......

taraanaa-e-hind


saare jahaa.N se achchhaa hindustaan hamaaraa
ham bul_bule.n hai.n is kii ye gulistaa.N hamaaraa


Note: While the books I have quote the last line
as "...gulistaa.N hamaaraa", I have always heard
the song sung as "...gulsitaa.N hamaaraa".


Gurbat me.n ho.n agar ham rahataa hai dil vatan me.n
samajho vahii.n hame.n bhii dil ho jahaa.N hamaaraa

[Gurbat = exile/in an alien land]

parvat vo sab se uu.Nchaa ham_saayaa aasmaa.N kaa
vo santarii hamaaraa vo paasabaa.N hamaaraa

[ham_saayaa = neighbour]
[santri = sentry; paasabaa.N = guardian/watchdog]

godii me.n khelatii hai.n is kii hazaaro.n nadiyaa.N
gulshan hai jin ke dam se rashk-e-janaa.N hamaaraa

[rashk-e-janaa.N = envy of Paradise]

ai aab-e-ruud-e-gangaa vo din hai yaad tujh ko
utaraa tere kinaare jab kaaravaa.N hamaaraa

mazhab nahii.n sikhaataa aapas me.n bair rakhanaa
hindii hai.n ham vatan hai hindustaa.N hamaaraa

[mazhab = religion]

yuunaan -o-mishr-o-romaa sab miT gaye jahaa.N se
ab tak magar hai baaqii naam-o-nishaa.N hamaaraa

[yuunaan = Greece; misr = Egypt; romaa = Rome]

kuchh baat hai ki hastii miTatii nahii.n hamaarii
sadiyo rahaa hai duhman daur-e-zamaa.N hamaaraa

'Iqbal' ko_ii maharam apanaa nahii.n jahaa.N me.n
maaluum kyaa kisii ko dard-e-nihaa.N hamaaraa

No comments:

Post a Comment