Sunday, October 24, 2010

Quotes

Mazahia Urdu Adab

1>> Abhi abhi to pyaar ka computer kiya hai chaaloo
Aab main dil ki hard disk pe aur kitni files daaloo
Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho
Roz raat ko aap mere sapne main aate ho
Mere pyar ko mouse bana ke ungaliyon pe nachaate ho. 2:>>Rat ka waqt hai or masjid hai qareeb
uthiye jaldi se ke peghame amal laya hoon
ghar main hain filhal jitne bhi purane jote
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon.
3>>Kitni dair hui koi sawal nahi ata
Sawal hum puchein to jawab nahi ata
Ye Sala bathroom me kon baitha ha
Itna lamba toh mujh ko b nahi jata!
4>>Tere pyar ka email mere dil ko Lubhataa hai
Par beech main tere baap ka virus aataa hai
Aur karvaaoge humse kitnaa intezaar
Hamaare dil ki site pe kabhi enter to maro yaar

5>>Tere liye chand kya
Sitaro ko bhi tod dunga
Tu sadhi ke liye ha kaho
Ghar walo ko tu kya
Ghar wali ko bhi chod dunga

6>>Tumhaare liye pyaar ki application
create main karoonga
Tum usse debug karnaa
wait main karoonga
Tumhaara intezaar karty karty
main so gaya
Yeh dekho mera connection
  time out ho gaya
7>>kaise bataon kya ho tum
khattara car ho tum
bina light ka lamp ho tum
bina law ki mombatti ho tum
kya samjhta hai khud ko
patla khada hua danda ho tum
kisi murgi ka sada hua anda ho tum
padosiyo ke gale ka fanda ho tum
8>>Jb se begum ne muje murga bana rakha ha
MaiN ne nazroN ke tara sir be jhuka rakha ha


Bartano! Aaj mere sir pe baraste kyuN ho
MaiN ne tum ko to hamesha se dhula rakha ha


Pehle Belen ne banaya tha mere sir pe Ghomer
aur ab Chimty ne mera gaal saja rakha ha


Sare kapre tu jala dale haiN begum ne
tan chupane ko Banyan phata rakha ha


Wahi Dunya maiN muqadder ka Sikander yahaN Tera
Jis ne khud ko abhi Shaadi se bacha rakha ha


Pi ja is maar ki talkhi ko bhi haNs ker Nasir
Maar khaney maiN bhi Qudrat ne maza rakha ha..
9>>Student : Yun Fail Jo Karna Tha Pehlay Se Bata Daitay
Hum Sari Kitabon Ko Chulhay Main Jalla Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Akhir
Haan! Paas Tu Ho jatay Jo Nakal Kara Daitay
Parche Jo Mile Hum Ko Sab Khali Diye Hum Nien
Ae Kash! Safai Ke Number He Dila Daitay.
Teacher: Yun Fail Jo Hona Tha Pehlay Hi Bata Daitay
Abba Se Kaha Hota,Thela Hi Laga Daitay
Koshish To Bohat Ki Thi Nakam Howay Phir Bhi
Haan! Paas Tu Kar Daitay Jo Akkal Larda Laitay
Parche Jo Mille Tum Ko Sab Khaali Diye Tum Nien
Kaash! Sayahee Se Dhabay He Bana Daitay

10>>Woh cheez jis ne collage main dhoom macha rakhi ha
us shokh haseena ka naam Allah rakhe ha


Main Allah rakha hoon, woh Allah rakhe ha
shayad Allah ne mairay liye bana rakhe ha


Kehtay hain rakhe hoi cheez buhat kaam at hai
is liye tu main ne rakhe se laga rakhe ha


Ab haqeqat tu yeah batanay ke liye rakhe ha
ke rakhe ne raaton ke neend urda rakhe ha


Yeah kia main ne rakhe rakhe laga rakhe ha
us rakhe ne to kisi aur se be bana rakhe ha
 

Nice Ghazals

Titliyon ko pakrna uski adat thi,              
har ik se milna uski adat thi,
wo jis ko tanahi se dar lagta tha,
magar tanhai main rehna uski adat thi,
wo ik ansu girne par khafa hota,
jisey tanhai main roney ki adat thi,
hamesha mafi magne ki gharz se,
roz nai galtiyan karna uski adat thi,
wo jo dil-o-jan nichawar karta tha muj par,
magar choti si bat pe rothna uski adat thi,
hum us k sath chal diya yeh jante howe b,
raah main har ik ko chor dena uski adat thi.........

Ae bad-e-saba...

us nagar main ja.....
usey itna bata...
ek dost tera...
kehta hai sada...
mujhe apna bana....
chahat ko jaga...
ae jaan-e-ghazal
teri baat ajal,,,
meri Aankh hai num,,,
Ae jaan-e-wafa,,,
khud tu hi bata,,,?
kab tera siwa,,
 Mujhe
Chain
 Mila............
{~AFSANA~}
1 dost bola tu shadi kis se karega?
Mene kaha me shadi shuda hon,
Kehne laga kon he tera jiwan sati?
Mene kaha yadain hain kisi ki,
kehne laga kis ne parhaya ta tera Nika?
Mene kaha Mustaqbil k khwabon ne,
Wo bola kesi guzar rahi he zindagi?
Me bolne hi wala ta k ankhon se ansun chalak paray,
Wo bola usy chor kun nain deta?
Mene kaha
HAQ-MEHAR me apni Zindagi likhi huei he..
Badnam Zamane me Mohabbat Nahi Karte.
Dil Wale Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte.
Ek Bar Jise Chaha Sada Us K Rahe Phir.
Ham Log Amanat Me Khianat Nahi Karte.
Tanhai Main Kar lete Hen Yad Aanso Baha Kar.
Zahir Kabhi Hum Apni Ebadat Nahi Karte.
Waqt Aane Par Malom Ye Ho Jae Ga TumKo.
Hum Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahi Karte.
Likhte Hen FAQAT Ek Tumhare Liye Ghazlen.
Har Shakhs Pe hum Aise Enayat Nahi Karte
Barson Baad..
Yaadon ka ek jhonka aya
hum se milney barson baad...
pehley itna roya na they
jitna roye barson baad...
lamha lamha gher ujra hai
mushkil sa ehsas howa hai....
pathar aaye barson pehley
sheeshay tootey barson baad...
aj hamari khaak pe dunya
ronay dhonay baithi hai...
phool hue hain janey kaise,
itne sastay barson baad....
dastak ki umeed lagaye
kab tak jeetay hum.....
kal ka vada karne waley,
milnay aye barson baad
Dar-e-fana me naqsh-e-bqa chhor jaonga.
Main apne bad apni sada chhor jaonga.
Hain aur b chaman meri khushbo k muntazir,
Main iss chaman ko misl-e-saba chhor jaonga.
Donga kaali kaali ko payaam-e-shaguftagi,
Gulshan me ikk husn-e-adaa chhor jaonga.
Ley jaonga main apni wafa ko b apnay sath,
Dunia k pas yad-e-wafa chhor jaonga.
Jo merey dil pe zakhm lagatay rahay sada,
Mein unkay wastay b dua chhor jaonga:....

Dil bethe tujhpe haar Piya..
Kar Tu b humse pyar Piya
Ab dard ka daman kon bane,
Ham barso sy bemar Piya
In galion mei kuch bhol gaye,
Dil roye zar-o-zar Piya
Q chup chup gum sum rehte ho,
Yeh pochein hamse yar Piya
Kuch dil b bojhal bojhal he,
Kuch yadon ka ambar Piya
Ham Tujhse hei naraz boht,
Yeh bhol gaye hr bar Piya
Kis hal mei he eb Dewana,
Aa dekh sar-e-bazar Piya
Ik khwab ajab sa dekha tha,
Hum us din sy bezar Piya..
Dua Nahi To Badua Deta Koi..
Wafaon Ka Sila Deta Koi,
Jab Muqaddar Hi Nahi Tha ,
Deta B To Kiya Deta Koi,
Hasil-e-ishq Faqat Dard Hai
Ai Kash Pahle Hi Bata Deta Koi
Taqdeer Main Nahi Tha Agar AaQaash Choona
Khaak Main Hi Mila Deta Koi
Guman Hi Ho Jata Kisi Apne ka
Daman Hi Pakar K Hila Deta Koi
Ek Arse Se Atka Hai Hichkiyon Pe Dam,
Acha Hota Jo Bhula Deta Koi,
Yeh Zindagi To Ro Ro K Kat Gai
Kya Hota Agar SAGAR Ko Hansa Deta Koi.
Garmi e Hasrat..
Garmi e hasrat e nakam say jal jatay hain
Hum chirago ki tarah sham say jal jatay hain
Shama jis aag main jalti ha numaesh kay liay
Hum usi aag main gumnam sy jal jatay hain
Bach nikaltay hain agar aatish e syal say hum
Shola e aariz gulfam say jal jatay hain
Khud numai tou nahi sheva arbab e wafa
Jin ko jalna ho wo aram say jal jatay hain
Rabt bahum pay hamain kia na kahen gay dushman
Ashna jub teray paigam sy jal jatay hain
Jub bhi ata ha mera nam teray nam kay sath
Janay kio log meray nam say jal jatay hain..,.

Hum nazuk nazuk dil waley..
bus aise he hotey hain,
kabhi mehfil mehfil phirte hain,
kabi dil main khawab prote hain,
kabi chup ki mohar sajate hain,
kabi geet labon par hotey hain,
kabi sab ka dil behlatey hain,
kabi zaat main tanha hotey hain,
kabi shab bhar jagte rehte hain,
kabi lambi taan k sotey hain,
hum nazuk nazuk dil waley.
bus aise he to hotey hain..
bus apne ap main rehte hain,
hum koun kisi k hotey hain??
hum nazuk nazuk dil waley
*Juda hony k mosam mein juda hna zrori tha
Najany q kisi ka bewfa hona zruri tha
Mere dil ne jo is ko poojany ki intha kr di
To phir us bewafa ka be Khuda hna zruri tha
Kisi se koi b shikwa na koi b shakyat ha
Jo mery sath chaht mein huwa,Hona zruri tha
bht nazdek thay dil is liye ab dooriyn b hain
Dilon k dermiyan kuch fasla hna zrori tha
Usy b drd dny ka bht he shok tha "Wasi"
Hmy b drd o ghm sy ashna hona zrori tah*
Kabi Tarap Utha Meri Aah se 
Kabi tarap utha meri aah se,
kabi ashk se na pighl saka,
sar-e-rah mila wo agar kabi,
to nazar chura k guzar gya,
wo utar gya meri aankh se,
mere dil se kyun na utar saka?
wo chala gya jahan chor k,
main wahan se phir na palat saka,
wo samnbhal gya tha magar,
main bikhar k phir na samit saka..
Karobaar Sheeshey Ka
Pat'thron ki basti main karobaar sheeshey ka,
koi b nahi karta aitbar sheeshay ka,
kaanch se baney puttley thori door chaltey hain,
chaar din ka hota hay ye khumaar sheeshey ka,
ban sanwar k harjae aj gher se nikla hai,
janey koun hota hai phir shikaar sheeshey ka,
iss zamaney main aarzi hain sub rishtey ''FARAZ''
hum ne bhi banaya tha ik yaar sheeshey ka...
Main udaas hun
jisy sun k gham mera mitt sky,
Wohi geet ga main udaas hun,
Mare hum-nsheen koi dil nsheen,C Gazal suna main udaas hun,
Tare bin b ye din guzr gay, tere naqsh dil se utter gay,
kbi ru bru mere khwab mien,kisi roz aa main udaas hun,
Mery chara gr tmy kia khbr,Meri zeest kitni kathan rhi,
Kiu chla gia mujy chor kar,Kbi lout Aa main udaas hun,
Mujy yad hy wo "SHAB-A-BRAAT,Jab chrag tum ny jalay thy,
Tujy wasta usi din ka hy,Mujy na rula ma udaas hun,
mere pyar ka yeh sila diya,muje 4 din mien bhula diya,
kbi Aa k mere mzaar pe,koi diya jala main udaas hun.
Mere ishq ko nidahl kar..
kabi hijar kabi wisal kar,
meri ankhon ko benai de,
mere kalb ko ujaal kar,
muje daras de tu fana ka,
mera ishq main bura hal kar,
mujhe de saza koi shakt se,
muje is jahan main misal kar,
meri asli surat bigar de,
kisi ishq bhati main dal kar,
muje b pila koi aisi shay,
kabi meri ankhain b laal kar,
wo jo us jahan main halal hai,
kabi is jahan main halal kar,
teri talab main ho main darbadar,
kabi iss taraf b khayal kar
Meri Hasrat K Janazay Ko Uthanay walay..
Kitnay Be-dard Hain Ye Log Zamanay Walay,
Koi Apna Nahi Matlab Ki Hay Dunya Sari,
Ab Kahan Miltay Hain Wo Yaar Puranay Walay,
Main Dua-goh Hun Sada Neendein Hon Mubarik Tujh Ko,
Hijar Ka Dard Mujhay De K Jagaanay Walay,
Bus Yehi Soch K Her Baar Manata Hun Usay,
Laut K Aatay Nahi Rooth K Janay Walay,
Hamaray Seenay Mein Kabhi Jhaank K Daikho To Sahi,
Kitnay Afsurda Hain Auron Ko Hansaanay Walay . . .
Meri Pehli Mohabat Hy
Zra sa Dhiyaan Rakh Lena
Meri Pehli Mohabat Hy,
Wafa ka Maan Rakh Lena
Meri Pehli Muhabat Hy.
Kahan is Omr Me Hm Bheis Badlen Ge FaQeeron ka,
Milan Aasaan Rakh Lena
Meri Pehli Muhabat Hy.
Judai k Dinon Me Log Chehre Bhool Jaate Hain,
Meri Pehchaan Rakh Lena
Meri Pehli Muhabat Hy.
Judai To Main Seh Longa Mgr Tm Phir se Milne ka,
Koi Imkaan Rakh Lena
Meri Pehli Muhabat Hy.
Agr Shaya Krao Apna Pehla Sheri Majmua,
To Ye Onwaan Rakh Lena
"Meri Pehli Muhabat Hy
Mohabbat rait jesi thi.

muje yeh ghalat fehmi thi,
k mohabbat dair sari thi,
dono hathon main bhar kar....
tamam umer sambhalun gi.

kabhi khoney nahi doun gi,
mohabbat khoney k dar se,
mutthiyan bheench li main ne....
magar jab mutthiyan kholeen,
to dono hath khali they,

Kyun k.....?

Mohabbat rait jesi thi....
Hum nazuk nazuk dil waley..
bus aise he hotey hain,
kabhi mehfil mehfil phirte hain,
kabi dil main khawab prote hain,
kabi chup ki mohar sajate hain,
kabi geet labon par hotey hain,
kabi sab ka dil behlatey hain,
kabi zaat main tanha hotey hain,
kabi shab bhar jagte rehte hain,
kabi lambi taan k sotey hain,
hum nazuk nazuk dil waley.
bus aise he to hotey hain..
bus apne ap main rehte hain,
hum koun kisi k hotey hain??
hum nazuk nazuk dil waley.
Na mila kro sar-e-sham muje!
Me tanha tanha he thek hon!
Muje chahton se dr lgta he!
Me nfratun me he thek hon!
Muje raston me chor do muje justju-e-mnzil nhe!
Na dikhao muj ko rasta me bhtka hoa he thek hon!
Mere dosto muje chor do na suljao meri uljhnen!
Muje adaavten he psnd hen me dushmnon me he thek hon!
Muje khushi ki koi tlb nhe muje apna ghum b nvaz do.!
Muje ansu pina psnd he muje ansuon me hi chor do..
,*, PIYA ,*,
Ek khwab ajab sa daikha tha,
Hum us Din se baizaar Piya,
Ab nend bhi Hum se roth gai,
Phr kaise ho Didar Piya,
Ab keh dalo to behtar hai,
Jo krna hai Iqrar Piya,
Dil Ghum se hi phat jaye ga,
Kr daina na Inkar Piya,
In ashkoun ko in Ankhoun ki,
Na rok sake Diwar Piya,
Agar raste sidhe sadhe hein,
Tu chalna kiun Dushwar Piya,
Haan Jism to apna lout aaya,
Par bhatke Rooh us paar Piya .
Sab Khulus Baaton Main
Sab Karam Khayalon Main
Bas Zara Wafa Kam Hai
Tere Shehe rWalon Main
Pehli Baar Nazron Ne
 Chaand Bolte Dekha
Hum Jawab Kya Dete
Kho Gaye Sawalon Main
Raat Teri Yaadon Ne
Dil Ko Is Tarha Chhera
Jaise Koi Chutki Le Narm Narm Gaalon Main
Yun Kisi Ki Aankhon Main
Subha Tak Thay Hum
Jis Tarha Rahe Shabnam Phoo lK Piyalon Main
Meri Aankh K Taaro Ab Na Dekh Paoge
Hum Raat K MusafirThay Kho Gaye Ujalon Main..
Suno jaanaa'n!
Suno jaanaa'n!
Yun tanha ab akaila..
Raat bhar jaaga nhi jata.
K tanha bojh chahat ka...
Tou ab uthata nhi mujhe say,
Suno!Kia aisa ho nhi sakta...
K...
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi..
Tum agar jago.?
Ye chahat ka hasee'n aik bojh,
Aadha hi sahi...
Tum baant lo mujhe say,
phir aadha dard tum lay lo...
Phir aadhay khwab tu daikhoya dil ki beqarary...
Mujhe say aadhi baant lo tum bhi'
Tou ab tum hi kaho jaanan!!!
Phir iis baar-e-muhabbt ko...
Tum aadha baant lo gay naa?????
Tum hi tum yad rehty ho
Kisi bhi moj mely men..
Ya duniya k jhamely men..
Har ik shy chor kar bilkul..
Men jab bethun akely men..
Tum hi tum yad rehty ho..
Zamana bhool jata hun,
kushi ki bat ho koi..
Ghamon ki raat ho koi..
Kisi se jeet jaaun main..
Ya meri maat ho koi..
Tum hi tum yad rehty ho..
Main jab b sony lagta hun..
To aksar rony lagta hun..
Phir us men khony lagta hun..
Mery tan men, mery man men..
meri rag rag men behty ho..
Tum hi tum yad rehty ho..
ye zärä zärä si bäät pe
ye zärä zärä si bäät pe, tärhä tärhä k äzäb kyun?
jo kisi se bhi khäfä nä ho mujhe us KHUDA ki täläsh hay
Mujhy läghzäshon pe här ghäri koi toktä häy bär bär?
jisäy kär k dil ko dukh nä ho mujhäy us GUNAH ki täläsh häy
binä humsäfär k käb täläk koi musäfton men lägä rähäy?
jähän koi kisi se judä nä ho mujhäy us RAHH ki täläsh häy
Mujhäy dekh kär jo äik näzär meräy säräy därd sämäjh säkäy !
 jo is qädär ho chärä-garmujhäy us NIGAH ki täläsh hä.......
"YEH BARSHIEN"

Yeh Bareshein B tum C hein,,,
Jo bras gai to Bahar hein,,,
Jo Thehr gai to Qarar hein,,,
Kabi aa gai yunhi Be sbab,
Kabi chaa gai yunhi roz o shab,,,
Kabi shor hein, kabi chup C hein,,,
Yeh Barishein B tum C hein...
Kisi Yaad mein kisi raat ko,,,
Ek dabi hoi C raakh ko,,,
Kabi yun howa k bhuja dia,,,
Kabi khud se khud ko jala dia,,,
Kabi boond boond me ghum C hein,,,
Yeh Bareshein B tum C hein..
Abhi Na Jao Chor Kar..!

Abhi na jao chor kar,

k dil abhi bhara nahi,

abi abi to aye ho,

bahar ban k chahye ho,

hawa zara mehak to ley,

nazar zara sanbhal to ley,

main thori dair jee to loun,

nashe k ghoont pee to loun,

abo to kuch kaha nahi,

abi to kuch suna nahi...

=====JAWAAB=====

Sitare jilmila uthe,

chiragh jag'maga uthe,

bus ab na muj ko tokna,

ba barh k raah rokna,

agar main ruk gayi abi,

to ja na paon gi kabi,

yehi kaho ge tum sada,

k dil abi bhara nahi,

jo khatam ho kisi jaga?

yeh aisa silsila nahi.

===ILTAJA===

Adhuri Aas chor kar,

jo roz yun'hi jao gi,

to kis tarah nibao gi?

k zindagi ki raah main,

jawaan dilon ki chah main,

kai mukaam aein ge,

jo hum ko Aazmaen ge,

bura na mano baat ka,

yeh pyaar hai gila nahi,

abi na jao chor kar,

k dil abhi bhara nahi..

Abhi Na Jao Chor Kar...

Bhalay dinoan ki baat hai
Bhalay dinoan ki baat hai
Bhali si aik shakl thee
Naa yeh kay husn-e-tamam ho
Naa daikhnay main aam see

Na yeh kay wo chalay to phir
Bahar rehguzar lagay
Magar wo jab bhi saath ho
Bhala bhala safar lagay

Koi bhi rutt hoa us ki chab
Fiza ka rang roop thee
Woh garmioun ki chaoon thee
Wo sardioun ki dhoop thee

Naa muddatoun juda rahay
Naa saath subh-o-shaam ho
Naa rishta-e-wafa pay zid
Naa yeh kay azn-e-aam ho

Naa aisi khush libaasian
Kay saadgi gilaa karay
Naa aisi baytakaluffi
Kay aaina haya karay

Naa ekhtilaat main wo ram
Kay badmaza hoan khwahishain
Naa iss qadar supurdagi
Kay zich karain nawazishain

Naa aashqi junoon kee
Kay zindagi azaab ho
Naa is qadar khatoor pan
Kay dosti kharab ho

Kabhi to baat pay kafi
Kabhi sukoot bhi sukhan
Kabhi to kusht-e-zafraan
Kabhi udaasioun ka ban

Bhali si aik shakl thee
Bhali si us ki dosti
Ab uskee yaad raat din

Naheen, magar kabhi kabhi.
Hayat K ujre diyar main..
Hayat K ujre diyar main,
kuch tareekiyan abi or hain..

Naseeb k bigre hissab main,
kuch talkhiyaan abhi or hain..

Main ne phir se tinkey jorr kar,
socha k banao ik gher,

Mujhy abi falak se nawa mili,
k wahan badliyaan abi or hain...

Yehi dekh ab k teray khawab,
sab kayen dhal gaye hain sarab main,

Dil-e-be-khabar zara hosh kar,
k tere mtehaan abhi or hain...

Wo daagh yadon k baad,
tu ne mitaye to hain par sab nahii,

Maseeha-e-waqat mere zehan pr,
aise kuch nishaan abi or hain..

Aay tofaan-e-hawa zara phir se,
aa in bastiyon main har us jaga,

Jahan bach gaye hain chand gareb,
aise kuch makaan abi or hain...

Main chahon agar b to kis tarah?
supurd-e-jalaal ho jaon abi,

K is soukhta jaan k hisaab main,
qarz-e--dostaan abi or hain..

Abhi khawishon main lagey raho,
zara sans lenay ko ruko nahi,

mujey hai yakeen yehin aas pas,
naye Aasmaan or bhi hain...
                     
Jo Chla Gya Mujhe Chor K...
Main Kabhi Na UsKo Bhula Saka...
Wohi Dorian Wohi Fasle...
Main Kabhi Na InKo Mita Ska...
Kya Usey B Mujh Se Pyar Tha...
Ya Tabassum Us ka shaur ta...
Wo koi ajib sawal ta..
Jo meri samaj main na aa saka...
Meri zindagi ka sakun ta wo...
Mery dil ka ek junon ta...
Meri bandagi mera piyar ta...
Ye bat main na bata saka...
Ye sochta ta main raat bhar...
Jo kbi milyga rah per...
To karunga us se shikayatain...
Wo mila to lab na hila saka.....

"Kaanch Ki Choorri"
Kitni saada,
Kitni pyari Kaanch ki choori jesi larki
College k ik kamry mei bethi
Jany kya kuch soch rahi thi
Uska hath kalai par tha
Or wo kuch kuch khofzada thi
Ab kia hoga?
Main bhi us k pas hi betha
Usko ghaur se dekh rha tha
Menay uska hath pakra
Aur pyar se pucha
Kiya Qissa hy?
Uski ankhen bheeg gayien
Aur wo dheemi si awaz mei boli
Dekho !!"Chorri toot gayi "....!!
Kaash khuwaabon mai hi aajao boht tanha hon

Ya mere zehen se yaadon k diye gul kerdo,
Mere ehsas ki dunya ko mita do hum-dam,
Raat taarey nahi angaarey le aati he,
In baraste howe shoulon ko bujha do hum-dam,
Dil ki dharkan ko sula jao boht tanha hon
Andheri raat mai jab chaand khilne lagta he,
Tumhare piyar k deepak jala k rota hon,
Tumhare aane ki jab aas jaane lagti he,
Main in chiraaghon ko khud hi bujha k rota hon,
Zindagi aesi mita jao boht tanha hon
Soochtey soochtey jab sooch bhi mar jati he,
Waqt k qadmon ki aahat ko suna kerta hon,
Ashk thamtey hain to yaadon ka dhuwaan uth'ta he,
Raat bher youn hi tadapta hon jala kerta hon,
Baar-e-gham kuch to ghata jao boht tanha hon...
Wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..
Main kisi or ka hun itna bara kar royi,
wo mujhe mehndi lage hath dikha kar royi..

Umer bhar ki judai ka khayal aya tha shayad,
woh mujhe pass apne dair tak bitha kar royi..

Aab k na sahi zaroor hashar main milain ge,
yakja honey k dilase dila kar royi...

Mujh se zayda bicharne ka ghum usey tha,
waqt-e-rukshat wo mujhe seenay se laga kar royi...

Main be-kasoor hun,qudrat ka faisla hai yeh,
lipat k mujh se bus wo itna baata kar royi...

Mujh pe ik kurab ka toofan ho gya hai,
jab mere samne mere khat jala kar royi...

Meri nafrat or adawat pighal gayi ik pal main,
wo be-wafa hai to kyun mujhe rula kar royi...

Sab shikwe meray ik pal main badal gaye,
jheel si ankhon main jab ansu saja kar royi...

 
!….:::~~Mohabbat ko Koi Zawaal Nahi~~:::….!

Main saahil pey likhe hoe ibaarat nahi
Jo lehron se mit jaati hai
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras ker tham jaati hai
Main khwab nahi
Jisey dekha aur bhula diya
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha diya
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat ke baad dhal jaye
Main to woh ehsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mittay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Main to woh parwaana hoon
Jo jalta rahayga magar fana na hoga
Khwab, ibaarat, hawa ki tarah
Chand, boond, shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahi
Kyun kay Main Tou Mohabbat Hoon
Aur Mohabbat ko Koi Zawaal Nahi.............

Nigahon k tasaadom sey.....

ajab taqrar karti hay,
Yaqin qamil nahi lekin,
guman hay pyar karti hay.
Laraz jata hoon main yeh soch k,
kafir naa ho jaon,
Tabiyat uss ki pooja k liyey,
bra israar karti hay.
Ussay malom hai shayad,
mera dil hai nishaney per,
Labon sey kuch nahi kehti,
nazar sey waar karti hay.
Main us sey pochta hoon khuwab main,
mujh sey mohbat hai!!???
Phir aankhain khool daita hoon,
wo jab izhar karti hai..

Qurb k na wafa k hote hain
Qurb k na wafa k hote hain,
saray jhagray ana k hote hain
Baat niyat ki sirf hai warna,
Waqt saray dua k hote hain
Bhool jate hain,mat bura kehna,
Log putlay khata k hote hain" " " "
Wo bazahir jo kuch nahi lagte ,
Un se rishtay bala k hote hain" " " "
Wo humara hai is tarah se Faiz:)
Jaisay banday khuda k hote hain...
Sari raat ki jaagi ankhien...

college main kia parthi hun gi?

khul na jaye kahin raaz-e-dil,

har waqat is se darti hun gi.

janey kaise,kidhar se aye ga?

unke khawabon ka shehzada,

chupay chupkay jis k bare,
wo sochti hun gi.

Aansuon k sath janay kia un main chupa hai,

jis k khoney k dar se wo hamesha hansti hun gi.

''WASI'' jab se dekhi hain sharmeeli se wo ankhein main ne,

Tab se soch raha hun wo ankhein kis ko dhoondti hun gi...

Taskeen na ho Jis se' wo raaz badal dalo..

Jo raaz na rakh paye' hamraaz badal dalo..
Tum ne bhe suni ho gi' bari aam kahawat hai,
Anjaam ka ho khatra' aghaaz badal dalo..
Pur soz dilon ko jo' muskan na de paye,
Sur he na mily jis mein' wo saaz badal dalo..
Dushman k iradon ko' hai zair agar karna,
Tum khel wohi khelo' andaaz badal dalo..
FARAZ karo himmat' Kuch door sawera hai,
Gr chahte ho manzil' parwaz badal dalo..!


Tere naaam ki thi jo roshni.,

usey khud he tu ne bhuja diya,
na jala saki jise dhoop bhi,
usey chandni ne jala diya,
main hun gardishon main gira howa,
muje aap apni khabar nahi,
wo jo shakhs tha mera rehnuma,
usey raaston ne gunwa diya,
jo teri nazar main ajeeb tha,
wohi shakhs tera habib tha,
tere hath ki wo lakeer tha,
usey hath se he mita diya,
mujhe ishq hai k junoon hai,
abhi faisla nahi ho saka,
mera naam zeenat-e-dasht tha,
mujhe aandhiyon ne mita diya...

Teri Mushkil Na Barhaon Ga, Chala Jaon Ga,

Ashk Ankhon Mein Chupaon Ga, Chala Jaon Ga,
Muddaton Baad Main Aaya Hoon Puraney Ghar Mein,
Khud Ko Jee Bhar K Rulaon Ga, Chala Jaon Ga,
Un Muhallaat Se Kuch Bhi Nahi Lena Mujh Ko,
Bas Tumhen Daikhney Aaon Ga, Chala Jaon Ga,
Chund Yadein Mujhy Bachon Ki Tarha Pyari Hain,
Un Ko Seenay Se Lagaon Ga, Chala Jaon Ga,
Apni Dehleez Pe Kuch Dair Para Rehney Do,
Jaise He Hosh Mein Aaon Ga, Chala Jaon Ga ...!

Tumara Khat Mila Jana..

Tumara khat mila jana,
wo jis main tumne pocha hai,
mere halaat kaise hain,
mere din raat kaise hain.

tumari meharbani hai,
jo is tarah tum ne,
mere halaat poche hain,
mere din raat poche hain.

main tumein sab kuch batla doun ga,
magar muje itna bata do k,
kabi sagar kinare par,
kisi machli ko dekha hai?

k jis ko lehrain pani ki,
kinare tak to lati hain,
magar phir chor jati hain,
mere halaat aise hain,
mere din raat aise hain...
 

Usy Jab yad Aayega...

Wo Pehli Bar Ka Milna
To Pal Pal Yaad Rakhega
Ya Sub Kuch Bhool Jayega!
Usy Jab yad Ayega
Gaye Mosam Ka Har Lamha
To Khud Hi Ro Parega
Ya Khud Hi Muskrayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K Sawan Lot Aya Hai
Bulawa Bheje Ga Mujhko
Ya Khud Hi Lot Ayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K Main Kese Muskrata Tha
To Ankhen Muskrayengi
Ya Daman Bheeg Jayega!
Usy Yaad Jab Ayega
K MEin Kese Naam Leta Tha
To MERA Naam Likhega
Ya APNA BHOOL JAYEGA!.

Wo Jazbon Ki Tajarat Thi..

Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Use Hansne Ki Adat Thi
Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Mujhe Usne Kaha Ao Naei Duniya Bsate Hain,
Use Sujhi Shrarat Thi,Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Hamesha Uski Ankhon Main Dhanak Ke Rang Hote The,
Ye Uski Ame Halt Thi Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,
Wo Mere Pass Bethe Dair Tak Ghuzlain Meri Sunta Tha,
Use Khud Se Muhabat Thi Ye Dil Kuch Aur Sumjha Tha,,,

Standard Collection Of good Poems is Given Below..

Yaar ko main ne mujhe yaar ne sone na diyaa
yaar ko mai.n ne mujhe yaar ne sone na diyaa 
raat bhar taali'-e-bedaar ne sone na diyaa 

[taali'-e-bedaar = good fortune] 

ek shab bul_bul-e-betaab ke jaage na nasiib 
pahaluu-e-gul me.n kabhii Khaar ne sone na diyaa 

raat bhar kii dil-e-betaab ne baate.n mujh se 
mujh ko is ishq ke biimaar ne sone na diyaa
By Haider Ali Aatish
ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate
ye aarazuu thii tujhe gul ke ruu-ba-ruu karate 
ham aur bul_bul-e-betaab guftaguu karate 

[ruu-ba-ruu = in front of; guftaguu = conversation] 

payaam bar na mayassar huaa to Khuub huaa 
zabaan-e-Gair se kyaa shar kii aarazuu karate 

[mayassar = available; shar = mischief] 

merii tarah se maah-o-mahar bhii hai.n aavaaraa 
kisii habiib ko ye bhii hai.n justajuu karate 

[maah-o-mahar = moon and sun; habiib = friend]

jo dekhate terii za.njiir-e-zulf kaa aalam 
asiir hone ke aazaad aarazuu karate 

[asiir = prisoner] 

na puuchh aalam-e-baragashtaa taali-e-"Aatish" 
barasatii aag me.n jo baaraa.N kii aarazuu karate 

[baragashtaa = turn around/against; baaraa.N = rain]
[taali-e-aatish = burning fate]
By Haider Ali Aatish
maikadaa thaa chaaNdanii thii main na thaa
maikadaa thaa chaa.Ndanii thii mai.n na thaa 
ik mujassam beKhudii thii mai.n na thaa 

ishq jab dam to.Dataa thaa tum na the 
maut jab sar dhun rahii thii mai.n na thaa 

tuur par chhe.Daa thaa jis ne aap ko 
vo merii diivaa.ngii thii mai.n na thaa 

maikade ke mo.D par rukatii hu_ii 
muddato.n kii tashnagii thii mai.n na thaa 

mai.n aur us Gunchaadahan kii aarazuu 
aarazuu kii sadagii thii mai.n na thaa 

gesuuo.n ke saaye me.n aaraam-kash 
sar-barahanaa zindagii thii mai.n na thaa 

dair-o-kaabaa me.n "Adam" hairat-farosh 
do jahaa.N kii bad_zanii thii mai.n na thaa
By Abdul Hamid Adam
 
honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye 
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye 

hairaan hain lab_bastaa hain, dil_giir hain Gunche 
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye 

lamhaat-e-masarrat hain tasavvur se gurezaaN 
yaad aae hain jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye 

taaro.n se sajaa le.nge raah-e-shahar-e-tamannaa 
maqaduur nahii.n subho chalo shaam hii aaye 

yaado.n ke vafaao.n ke aqiido.n ke Gamon ke 
kaam aaye jo duniyaa mein to is naam hii aaye 

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaron se 
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye 

thak haar ke baiThe hain sar-e-kuu-e-tamannaa 
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye 

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuuN kii 
dil me.n agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
By Ada Badyuni
dil ajab gumbad ki jis mein ik kabuutar bhii nahiin
dil ajab gumbad ki jis me.n ik kabuutar bhii nahii.n
itanaa viraa.N to murdaaro.n kaa muqaddar bhii nahii.n

[murdaar = dead people]

Duubatii jaatii hai.n miTTii me.n badan kii kashtiyaa.N
dekhane me.n ye zamii.n ko_ii samandar bhii nahii.n

jitane hangaame the suukhii Tahaniyo.n se jha.D gaye
pe.D par phal bhii nahii.n aa.Ngan me.n patthar bhii nahii.n

Khushk Tahanii par parindaa hai ki pattaa hai 'Adeem'
aashiyaanaa bhii nahii.n jis kaa ko_ii par bhii nahii.n

jitanii pyaarii hai.n merii dharatii jo zanjiire.n 'Adeem'
itanaa pyaaraa to kisii dulhan ko zevar bhii nahii.n

By Adeem Hashmi
faasale aise bhii honge ye kabhii sochaa na thaa
faasale aise bhii ho.nge ye kabhii sochaa na thaa 
saamane baiThaa thaa mere aur vo meraa na thaa 

vo ki Khushbuu kii tarah phailaa thaa mere chaar suu 
mai.n use mahasuus kar sakataa thaa chhuu sakataa na thaa 

raat bhar us kii hii aahaT kaan me.n aatii rahii 
jhaa.Nk kar dekhaa galii me.n ko_ii bhii aayaa na thaa

aks to maujuud the par aks tanahaa_ii ke the 
aa_iinaa to thaa magar us me.n teraa cheharaa na thaa 

aaj us ne dard bhii apane alahadaa kar diye 
aaj mai.n royaa to mere saath vo royaa na thaa 

ye sabhii viiraaniyaa.N us ke judaa hone se thii.n 
aa.Nkh dhu.Ndhalaa_ii hu_ii thii shahar dhu.Ndhalaayaa na thaa 

yaad karake aur bhii takaliif hotii thii "Adeem" 
bhuul jaane ke sivaa ab ko_ii bhii chaaraa na thaa.
By Adeem Hashmi
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
is tarah sataayaa hai pareshaan kiyaa hai
goyaa kii muhabbat nahii.n ehasaan kiyaa hai

sochaa thaa ki tum duusaro.n jaise nahii.n hoge
tum ne bhii vahii kaam merii jaan kiyaa hai

mushkil thaa bahuut mere liye tark-e-ta'alluq
ye kaam bhii tum ne meraa aasaa.N kiyaa hai

[tark (karanaa) = to give up; ta'alluq = relationship]

har roz sajaate hai.n terii hijr me.n Gunche
aa.Nkho.n ko terii yaad me.n gul_daa.N kiyaa hai

[hijr = separation; Gunche = flower buds]
[gul_daan = flower vase]
By Afzal Firdaus
karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa
karb ke shahar se nikale to ye manzar dekhaa 
ham ko logo.n ne bulaayaa hame.n chhuu kar dekhaa 

[karb=vexation/anguish] 

jab bhii chaahaa hai ki malabuus-e-vafaa ko chhuu le.n 
misl Khushbuu ko_ii u.Dataa huaa paikar dekhaa 

[malabuus=garment; misl=like/example; paikar=form] 

vo barasaat me.n bhiigaa to nigaahe.n uTThii.n 
yo.n lagaa hai ko_ii tarshaa huaa patthar dekhaa 

zindagii kitanii pareshaa.N hai ye sochaa bhii na thaa 
is ke ataraaf me.n sholo.n kaa sama.ndar dekhaa 

[ataraaf=all around] 

aa ga_ii Gam kii havaa phir tere gesuu chhuukar 
hamane viiraanaa-e-dil phir se mu'attar dekhaa 

[gesuu=hair; mu'attar=fragrant/filled with perfume] 

vo jo u.Datii hai sadaa dasht-e-vafaa me.n "Afzal" 
usii miTTii me.n nihaa.N dard kaa gauhar dekhaa... 

[dasht=desert/wilderness; nihaa.N=hidden/buried; gauhar=pearl]
By Afzal Minhas
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii 
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii 

[suu-e-maikadaa=towards the bar/place for drinking] 

go havaa-e-gulasitaa.N ne mere dil kii laaj rakh lii 
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii 

ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaa.N muattar 
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii 

[muattar=full of itr] 

ye khule khule se gesuu, i.nhe.n laakh tuu sa.Nwaare 
mere haath se sa.Nwarate, to kuchh aur baat hotii 

go haram ke raaste se vo pahu.Nch gaye Khudaa tak 
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
By Aga Hashr
koii cheharaa huaa roshan na ujaagar aaNkhen
ko_ii cheharaa huaa roshan na ujaagar aa.Nkhe.n
aa_iinaa dekh rahii thii.n merii patthar aa.Nkhe.n

le u.Dii vaqt ki aa.Ndhii jinhe.n apane ham_raah
aaj phir Dhuu.NDh rahii hai.n vahii manzar aa.Nkhe.n

phuuT nikalii.n to ka_ii shahar-e-tamannaa Duube
ek qatre ko tarasatii hu_ii banjar aa.Nkhe.n

us ko dekhaa hai to ab shauq kaa vo aalam hai
apane halako.n se nikal aa_ii hai.n baahar aa.Nkhe.n

tuu nigaaho.n kii zubaa.N Khuub samajhataa hogaa
terii jaanib to uThaa karatii hai.n aksar aa.Nkhe.n

log marate na dar-o-baam se Takaraa ke kabhii
dekh lete jo 'Kamaal' us kii samandar aa.Nkhe.n.
By Ahmed Kamal
aashiqii be-dilii se mushkil hai
aashiqii be-dilii se mushkil hai 
phir muhabbat usii se mushkil hai 

ishq aaGaaz hii se mushkil hai 
sabr karanaa abhii se mushkil hai 

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye 
dushmanii dostii se mushkil hai 

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n 
bevafaa_ii usii se mushkil hai 

ek do duusare se sahel na jaan 
har ko_ii har kisii se mushkil hai 

[sahel=approachable] 

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar 
vaapasii us galii se mushkil hai
Ahmed Faraz
ab ke ham bichhaDe to shaayad kabhii Khvaabon mein milen
ab ke ham bichha.De to shaayad kabhii Khvaabo.n me.n mile.n 
jis tarah suukhe hue phuul kitaabo.n me.n mile.n

Dhuu.NDh uja.De hue logo.n me.n vafaa ke motii 
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharaabo.n me.n mile.n 

[uja.De=desolated, ruined; Kharaab=bad] 

tuu Khudaa hai na meraa ishq farishto.n jaisaa 
dono.n insaa.N hai.n to kyo.n itane hijaabo.n me.n mile.n 

[hijaab - veil, here it means barrier] 

Gam-e-duniyaa bhii Gam-e-yaar me.n shaamil kar lo 
nashaa ba.Dataa hai sharabe.n jo sharaabo.n me.n mile.n 

aaj ham daar pe khe.nche gaye jin baato.n par 
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaabo.n me.n mile.n 

ab na vo mai.n huu.N na tu hai na vo maazii hai `Faraaz',
jaise do shaKhs tamannaa ke saraabo.n me.m mile.n 

[maazii=past; saraab - illusion, mirage]
Ahmed Faraz
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun
ab ke rut badalii to Khushbuu kaa safar dekhegaa kaun 
zaKhm phuulo.n kii tarah mahake.nge par dekhegaa kaun 

dekhanaa sab raqs-e-bismal me.n magan ho jaaye.nge 
jis taraf se tiir aayegaa udhar dekhegaa kaun 

vo havas ho yaa vafaa ho baat maharuumii kii hai 
log to phal-phuul dekhe.nge shajar dekhegaa kaun 

[maharuum=deprived; shajar=tree] 

ham chiraaG-e-shab hii jab Thahare to phir kyaa sochanaa 
raat thii kis kaa muqaddar aur sahar dekhegaa kaun 

[chiraaG-e-shab=night lamp] 

aa fasiil-e-shahar se dekhe.n Ganiim-e-shahar ko 
shahar jalataa ho to tujh ko baam par dekhegaa kaun 

[fasiil-e-shahar=city wall/boundary; Ganiim-e-shahar=city's enemy]
Ahmed Faraz
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa
baraso.n ke baad dekhaa ik shaKhs dil_rubaa saa 
ab zahan me.n nahii.n hai par naam thaa bhalaa saa 

abaruu khi.nche khi.nche se aa.Nkhe.n jhukii jhukii sii 
baate.n rukii rukii sii lahajaa thakaa thakaa saa 

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar me.n 
ban jaaye jangalo.n me.n jis tarah raastaa saa 

Khvaabo.n me.n Khvaab us ke yaado.n me.n yaad us kii 
niindo.n me.n ghul gayaa ho jaise ke rat_jagaa saa 

pahale bhii log aaye kitane hii zindagii me.n 
vo har tarah se lekin auro.n se thaa judaa saa 

agalii muhabbato.n ne vo naa_muraadiyaa.N dii.n 
taazaa rafaaqato.n se dil thaa Daraa Daraa saa 

kuchh ye ke muddato.n se ham bhii nahii.n the roye 
kuchh zahar me.n bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasaa 

phir yuu.N huaa ke saavan aa.Nkho.n me.n aa base the 
phir yuu.N huaa ke jaise dil bhii thaa aabalaa saa 

ab sach kahe.n to yaaro ham ko Khabar nahii.n thii 
ban jaayegaa qayaamat ik vaaqi_aa zaraa saa 

tevar the beruKhii ke andaaz dostii ke 
vo ajanabii thaa lekin lagataa thaa aashnaa saa 

ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit 
naahaq thaa zo.Num ham ko jab vo nahii.n thaa pyaasaa 

ham ne bhii us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan 
apanaa bhii haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa 
Ahmed Faraz
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa 
tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa 

mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n 
tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa 

Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa 
tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa 

ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar 
tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa
Ahmed Faraz
payaam aaye hai.n us yaar-e-bevafaa ke mujhe
payaam aaye hai.n us yaar-e-bevafaa ke mujhe 
jise qaraar na aayaa kahii.n bhulaa ke mujhe 

nashe se kahuu.N to nahii.n yaad-e-yaar kaa aalam 
ke le u.Daa hai ko_ii dosh par havaa ke mujhe 

judaa_iyaa.N ho.n to aisii ki umr bhar na mile 
fareb to do zaraa sil_sile ba.Daa ke mujhe 

mai.n Khud ko bhuul chukaa tha magar jahaa.N vaale 
udaas chho.D gaye aa_iinaa dikhaake mujhe
Ahmed Faraz
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa 
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa

pahale se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

kis kis ko bataaye.nge judaa_ii kaa sabab ham 
tuu mujh se Khafaa hai to zamaane ke liye aa 

kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

ek umr se huu.N lazzat-e-giriyaa se bhii maharuum 
ai raahat-e-jaa.N mujh ko rulaane ke liye aa 

ab tak dil-e-Khush_faham ko tujh se hai.n ummiide.n 
ye aaKhirii shamme.n bhii bujhaane ke liye aa 

The following ashaar are by Talib Baghpati but Mehdi Hassan
always sings them as part of this Gazal.

maanaa ki muhabbat kaa chhipaanaa hai muhabbat 
chupake se kisii roz jataane ke liye aa 

jaise tujhe aate hai.n na aane ke bahaane 
aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
Ahmed Faraz
saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale
saaqiyaa ik nazar jaam se pahale pahale
ham ko jaanaa hai kahii.n shaam se pahale pahale

Khush huaa ai dil ke muhabbat to nibhaa dii tuune
log uja.D jaate hai.n anjaam se pahale pahale

ab tere zikr pe ham baat badal dete hai.n
kitanii raGabat thii tere naam se pahale pahale

saamane umr pa.Dii hai shab-e-tanhaa_ii kii 
vo mujhe chho.D gayaa shaam se pahale pahale
Ahmed Faraz
sakuut-e-shaam-e-Khizaa.N hai qariib aa jaao
sakuut-e-shaam-e-Khizaa.N hai qariib aa jaao 
ba.Daa udaas samaa.N hai qariib aa jaao 

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zom-e-vafaa 
na aitabaar-e-jahaa.N hai qariib aa jaao 

raah-e-talab me.n kisii ko dhyaan nahii.n 
hujuum-e-ham_safaraa.N hai qariib aa jaao 

jo dasht-e-ishq me.n bichha.De.n vo umr bhar na mile 
yahaa.N yahaa.N dhuaa.N hii dhuaa.N hai qariib aa jaao 

ye aa.Ndhiyaa.N hai.n to shahar-e-vafaa kii Khair nahii.n 
zamaanaa Khaak_fashaa.N hai qariib aa jaao 

faaqih-e-shahar kii majalis nahii.n ke duur raho 
ye bazm-e-piir-e-maGaa.N hai qariib aa jaao 

'Faraz' duur ke suuraj Garuub samajhe gaye 
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao 
Ahmed Faraz
sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n
sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n 
so us ke shahar me.n kuchh din Thahar ke dekhate hai.n 

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalo.n se 
so apane aap ko barbaad karake dekhate hai.n 

[rabt=closeness/relation] 

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii 
so ham bhii us kii galii se guzar kar dekhate hai.n 

[gaahak=customer] 

sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf 
so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n 

[shagaf=passion] 

sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Date hai.n 
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n 

sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai 
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n 

sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.Nkhe.n 
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai din ko use titaliyaa.N sataatii hai.n 
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n 

sunaa hai raat se ba.Dh kar hai.n kaakule.n us kii 
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hai.n 

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai 
so us ko surmaafarosh aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalate hai.n 
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hai.n 

sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa 
jo saadaa dil hai.n ban sa.Nvar ke dekhate hai.n 

sunaa hai jab se hamaa_il hai.n us kii gardan me.n 
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n 

[hamaail=something to wear around the neck] 

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n 
palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n 

[zaave=angles] 

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n 
ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n 

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n 
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n 

[sarv-qad=tall and graceful; shaguufe=bud; samar=fruit] 

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa 
so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n 

[rah_ravaa.N=travellers] 

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht 
makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n 

[shabistan=bedroom; muttasil=near; makiin=tenant] 

ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n 
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n 

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe 
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n 

[be-pairahan=without clothes] 

kahaaniyaa.N hii.n sahii sab mubaalaGe hii sahii 
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hai.n 

[mubaalaGe=beyond one's limits] 

ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N 
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n 
Ahmed Faraz
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa
vafaa ke Khvaab muhabbat kaa aasara le jaa 
agar chalaa hai to jo kuchh mujhe diyaa le jaa 

maqaam-e-suud-o-ziyaa.N aa gayaa hai phir jaanaa.N 
ye zaKhm mere sahii tiir to uThaa le jaa 

yahii hai qismat-e-saharaa yahii karam teraa 
ki buu.Nd buu.Nd ataa kar ghaTaa ghaTaa le jaa 

Guruur-e-dost se itanaa bhii dil_shikastaa na ho 
phir uTh ke saamane daaman-e-iltajaa le jaa 

nadaamate.n ho.n to sar baar-e-dosh hotaa hai 
'Faraz' jaa.N ke evaz aabaruu bachaa le jaa
Ahmed Faraz
ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
ye kyaa ke sab se bayaa.N dil kii haalate.n karanii
'Faraz' tujh ko na aa_ii.n muhabbate.n karanii

ye qurb kyaa hai ke tuu saamane hai aur hame.n
shumaar abhii se judaa_ii kii sa'ate.n karanii

ko_ii Khudaa ho ke patthar jise bhii ham chaahe.n
tamaam umr usii kii ibaadate.n karanii

sab apane apanee qariine se muntazir us ke
kisii ko shukr kisii ko shikaayate.n karanii

ham apane dil se hai.n majabuur aur logon ko
zaraa sii baat pe barpaa qayaamate.n karanii

mile.n jab un se to mubaham sii guftaguu karanaa
phir apane aap se sau-sau vazaahate.n karanii

ye log kaise magar dushmanii nibhaate.n hai.n
hamii.n ko raas na aa_ii.n muhabbate.n karanii

kabhii 'Faraz' naye mausamo.n me.n ro denaa
kabhii talaash puraanii raqaabate.n karanii
Ahmed Faraz
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n
ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n 
ye tazkire.n terii lutf ke hai.n ye sher terii shikaayate.n hai.n 
mai.n sab terii nazr kar rahaa huu.N ye un zamaano.n kii s'ate.n hai.n 
jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz yaad aaye.N 
to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaaye.N 
udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye apasaraaye.N 

[tazkire.n=mention; s'ate.n=moments] 
[anfaas=breaths; qabaaye.N=long coats] 

mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa huu.N 
hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa huu.N 
mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret chhaanataa huu.N 
magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa banii hai 
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa banii hai 
ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai 

aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n 
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n 
jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere hai.n 
vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii thii 
vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii thii.n 
vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane nasiib sii thii.n 

[mataa=things; qurbat=nearness] 
[roz-o-shab=day and night; muGannii=singer] 
[Khusro-vaanaa=king-like; Khvaahishe.n=desires] 

na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D chukaa hai 
vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D chukaa hai 
vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D chukaa hai 

[kohakan=another name for Farhaad; teshaa=axe]
Ahmed Faraz
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham
ye tabiyat hai to Khud aazaar ban jaaye.nge ham 
chaaraagar roye.nge aur Gam_Khvaar ban jaaye.nge ham 

ham sar-e-chaak-e-vafaa hai.n aur teraa dast-e-hunar 
jo banaa degaa hame.n ai yaar ban jaaye.nge ham 

kyaa Khabar thii ai nigaar-e-sher tere ishq me.n 
dil_baraan-e-shahar ke dil_daar ban jaaye.nge ham 

saKht jaan hai.n par hamaarii ustavaarii par na jaa 
aise TuuTe.nge teraa iqaraar ban jaaye.nge ham 

aur kuchh din baiThane do kuu-e-jaanaa.N me.n hame.n 
raftaa raftaa saayaa-e-diivaar ban jaaye.nge ham 

is qadar aasaa.N na hogii har kisii se dostii 
aashnaa_ii me.n teraa mayaar ban jaaye.nge ham 

miir-o-Gaalib kyaa ke ban paaye nahii.n faiz-o-firaaq 
zam ye thaa ruumii-o-ataar ban jaaye.nge ham 

dekhane me.n shaaKh-e-gul lagate hai.n lekin dekhanaa 
dast-e-gul_chii.n ke liye talvaar ban jaaye.nge ham 

ham chiraaGo.n ko to taariikii se la.Danaa hai 'Faraz'
gul hue par subah ke aasaar ban jaaye.nge ham 
Ahmed Faraz
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n
zaKhm ko phuul to sar sar ko sabaa kahate hai.n 
jaane kyaa daur hai kyaa log hai.n kyaa kahate hai.n 

kyaa qayaamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale 
ab vahii log hame.n aabalaapaa kahate hai.n 

ko_ii batalaao ke ik umr kaa bichha.Daa mahabuub 
ittefaaqan kahii.n mil jaaye to kyaa kahate hai.n 

ye bhii andaaz-e-suKhan hai ke jafaa ko terii 
Gamzaa-o-ishvaa-o-andaaz-o-adaa kahate hai.n 

jab talak duur hai tuu terii parastish kar le.n 
ham jise chhuu na sake.n us ko Khudaa kahate hai.n 

kyaa ta'ajjub hai ke ham ahl-e-tamannaa ko 'Faraaz' 
vo jo maharuum-e-tamannaa hai.n buraa kahate hai.n
Ahmed Faraz
jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii
jab teraa hukm milaa tark muhabbat kar dii 
dil magar is pe vo dha.Dhakaa ki qayaamat kar dii 

tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa 
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii 

mai.n to samajhaa thaa ki lauT aate hai.n jaane vaale 
tuune jaakar to judaa_ii merii qismat kar dii 

mujh ko dushman ke iraado.n pe bhii pyaar aataa hai 
terii ulfat ne muhabbat merii aadat kar dii 

puuchh baiThaa huu.N mai.n tujh se tere kuuche kaa pataa 
terii haalat ne kaisii terii surat kar dii
Ahmed Nadeem Qasmi
vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the
vo ko_ii aur na thaa chand Khushk patte the 
shajar se TuuT ke jo fasl-e-gul pe roye the 

[Khushk=dry; chand=few; shajar=tree; fasl-e-gul=spring] 

abhii abhii tumhe.n sochaa to kuchh na yaad aayaa 
abhii abhii to ham ek-duusare se bichha.De the 

tumhaare baad chaman par jab ik nazar Daalii 
kalii kalii me.n Khizaa.N ke chiraaG jalate the 

tamaam umr vafaa ke gunaah_gaar rahe 
ye aur baat ki ham aadamii to achchhe the 

shab-e-Khaamosh ko tanhaa_ii ne zabaa.N de dii 
pahaa.D guu.Njate the dasht san_sanaate the 

[shab-e-Khaamosh=silent night; dasht=desert] 

vo ek baar mare jin ko thaa hayaat se pyaar 
jo zindagii se gurezaa.N the roz marate the 

[hayaat=life; gurezaa.N=to run away from] 

naye Khayaal ab aate hai.n Dhal ke zahan me.n
hamaare dil me.n kabhii khet lah_lahaate the 

[zahan=mind] 

ye iratiqaa kaa chalan hai ki har zamaane me.n 
puraane log naye aadamii se Darate the 

[iratiqaa=progressive] 

'Nadeem' jo bhii mulaaqaat thii adhuurii thii 
ki ek chehare ke piichhe hazaar chehare the
Ahmed Nadeem Qasmi
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N
vaqt-e-safar qariib hai bistar sameT luu.N
bikharaa hu_aa hayaat kaa daftar sameT luu.N

[vaqt-e-safar = time to travel; qariib = near; bistar = bedding]
[sameTanaa = to gather; bikharaa hu_aa = scattered; hayaat = life]

phir jaane ham mile.n na mile.n ik zaraa ruko
mai.n dil ke aa_iine me.n ye manzar sameT luu.N

[manzar = scene/view]

Gairo.n ne jo suluuk kiye un kaa kyaa gilaa
phe.nke hai.n dosto.n ne jo patthar sameT luu.N

[Gair = stranger/rival; suluuk = conduct/behaviour]
[gilaa = complaint]

kal jaane kaise ho.nge kahaa.N ho.nge ghar ke log
aa.Nkho.n me.n ek baar bharaa ghar sameT luu.N

sail-e-nazar bhii Gam kii tamaazat se Khushk ho
vo pyaas hai mile to samandar sameT luu.N

[sail = flood; sail-e-nazar = tears; tamaazat = heat; Khushk = dry]

'Ajmal' bha.Dak rahii hai zamaane me.n jitanii aag
jii chaahataa hai siine ke andar sameT luu.N
Ajmal Ajmali
hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai
hangaamaa hai kyuu.N barpaa tho.Dii sii jo pii lii hai 
Daakaa to nahii.n Daalaa chorii to nahii.n kii hai 

naa-tajurbaakaarii se vaa_iz kii ye baate.n hai.n 
is rang ko kyaa jaane puuchho to kabhii pii hai 

us mai se nahii.n matalab dil jis se hai begaanaa 
maqasuud hai us mai se dil hii me.n jo khi.nchatii hai 

vaa.N dil me.n ki sadame do yaa.N jii me.n ke sab sah lo 
un kaa bhii ajab dil hai meraa bhii ajab jii hai

har zarraa chamakataa hai anavaar-e-ilaahii se 
har saa.Ns ye kahatii hai ham hai.n to Khudaa bhii hai

suuraj me.n lage dhabbaa fitarat ke karishme hai.n 
but ham ko kahe kaafir allaah kii marzii hai 

Akbar Allahabadi
achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai
achchhe isaa ho mariizo.n kaa Khayaal achchhaa hai
ham mare jaate hai.n tum kahate ho haal achchhaa hai

tujh se maa.Nguu.N mai.n tujhii ko ki sab kuchh mil jaaye
sau savaalo.n se yahii ek savaal achchhaa hai

dekh le bul_bul-o-paravaanaa kii betaabii ko
hijr achchhaa na hasiino.n kaa visaal achchhaa hai

aa gayaa us kaa tasavvur to pukaaraa ye shauq
dil me.n jam jaaye ilaahii ye Khayaal achchhaa hai
Ameer Minai
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat kii tabiyat me.n 
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai

ke jitanii puraanii jitanii bhii mazabuut ho jaaye
ise taa_iid-e-taazaa kii zaruurat phir bhii rahatii hai
yaqii.n kii aaKhirii had tak dilo.n me.n lah_lahaatii ho
nigaaho.n se Tapakatii ho lahuu me.n jag_magaatii ho
hazaaro.n tarah se dil_kash hasiin haale banaatii ho
use izhaar ke lafzo.n kii haajat phir bhii rahatii hai

mohabbat maa.Ngatii hai yuu.N gavaahii apane hone kii
ke jaise tifl-e-saadaa shaam ko ik biij boye
aur shab me.n bauraa uThe
zamii.n ko khod kar dekhe 
ke paudhaa ab kahaa.N tak hai

mohabbat kii tabiyat me.n ajab takaraar kii Khuu hai
ke ye iqraar ke lafzo.n ko sunane se nahii.n thakatii
bichha.Dane kii gha.Dii ho yaa ko_ii milane kii sa'at ho
ise bas ek hii dhun hai 
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai

kuchh aisii besakuunii hai vafaa kii sar_zamii.no.n me.n
ke jo ahal-e-mohabbat ko sadaa bechain rakhatii hai
ke jaise phuul me.n Khsuhbuu ke jaise haath me.n taaraa
ke jaise shaam kaa taaraa
mohabbat karane vaalo.n kii sahar raato.n me.n rahatii hai
gumanaam ke shaaKhcho.n me.n aashiyaa.N banataa hai ulfat kaa
ye ain visaal me.n bhii hijr ke Khadsho.n me.n rahatii hai

mohabbat ke musaafir zindagii jab kaaT chukate hai.n
thakan kii karachiyaa.N chunate vafaa kii ajarake.n pahane
samay kii rah_guzar kii aaKhirii sarhad pe rukate hai.n
to ko_ii Duubatii saa.Nso.n kii Dorii thaam ker
dhiire se kahataa hai
ke ye sach hai naa
hamaarii zindagii ik duusare ke naam likhii thii
dhundhalakaa saa jo aa.Nkho.n ke qariib-o-duur phailaa hai
isii kaa naam chaahat hai
tumhe.n mujh se mohabbat thii
tumhe.n mujh se mohabbat hai

mohabbat kii tabiyat me.n
ye kaisaa bachapanaa qudarat ne rakkhaa hai
Amjad Islam Amjad
main nazar se pii rahaa huuN ye samaa badal na jaaye
mai.n nazar se pii rahaa huu.N ye samaa badal na jaaye 
na jhukaao tum nigaahe.n kahii.n raat Dhal na jaaye 

mere ashk bhii hai.n is me.n ye sharaab ubal na jaaye 
meraa jaam chhuunevaale teraa haath jal na jaaye 

abhii raat kuchh hai baaqii na uThaa naqaab saaqii 
teraa rind girate girate kahii.n phir sambhal na jaaye 

merii zindagii ke maalik mere dil pe haath rakhanaa 
tere aane kii Khushii me.n meraa dam nikal na jaaye 

mujhe phuu.Nkane se pahale meraa dil nikaal lenaa 
ye kisii kii hai amaanat kahii.n saath jal na jaaye
Anwar Mirzapuri
baraay-e-naam sahii ko_ii mehar_baan to hai
baraay-e-naam sahii ko_ii mehar_baan to hai
hamaare sar pe bhii hone ko aasamaan to hai

terii faraaKh_dilii ko duaaye.n detaa huu.N
mere labo.n pe tere lams kaa nishaan to hai

[faraaKh_dilii = large hearted]

ye aur baat ki vo ab yahaa.N nahii.n rahataa
magar ye us kaa basaayaa huaa makaan to hai

alaavaa is ke na kuchh aur pardaa rakh mujh se
fasiil-e-jism mere tere darmiyaan to hai

[alaavaa = other than; fasiil = rampart/wall/barrier]

bichha.D ke zindaa nahii.n rah sake.nge ham dono.n
mujhe ye vaham to hai un ko ye gumaan to hai

[vaham = imagination/conjecture; gumaan = doubt/suspicion]

saro.n pe saayaa_fiGan abr-e-aarazuu na sahii
hamaare paas saraabo.n kaa saayabaan to hai

gul-e-muraad nahii.n sang-haaye-tifl sahii
Gariib-e-shahar kaa aaKhir kisii ko dhyaan to hai

[muraad = desire; sang = stone; tifl = child]
Aqeel Shadab
kachchii diivaar huu.N Thokar na lagaanaa mujh ko
kachchii diivaar huu.N Thokar na lagaanaa mujh ko 
apanii nazaro.n me.n basaa kar na giraanaa mujh ko 

tum ko aa.Nkho.n me.n tasavvur kii tarah rakhataa huu.N  
dil me.n dha.Dakan kii tarah tum bhii basaanaa mujh ko 

baat karane me.n jo mushkil ho tumhe.n mahafil me.n 
mai.n samajh jaa_uu.Ngaa nazaro.n se bataanaa mujh ko 

vaadaa utanaa hii karo jitanaa nibhaa sakate ho 
Khvaab puuraa jo na ho vo na dikhaanaa mujh ko 

apane rishte kii nazaakat kaa bharam rakh lenaa 
mai.n to aashiq huu.N diivaanaa na banaanaa mujh ko
Asrar Ansari
lamhon ke aazaab sah rahaa huuN
lamho.n ke aazaab sah rahaa huu.N
mai.n apane vajuud kii sazaa huu.N

zaKhmo.n ke gulaab khil rahe hai.n
Khushbuu ke hujuum me.n kha.Daa huu.N

is dasht-e-talab me.n ik mai.n bhii
sadiyo.n kii thakii hu_ii sadaa huu.N

benaam-o-numuud zindagii kaa
ik bojhaa uThaaye phir rahaa huu.N

ik aisaa chaman hai jis kii Khushbuu
saa.Nso.n me.n basaaye phir rahaa huu.N

ik aisii zamii.n hai jis ko chhuukar
takadiis-e-haram se aashnaa huu.N

ai mujh ko fareb dene vaale
mai.n tujh par yaqiin kar chukaa huu.N

mai.n tere qariib aate aate
kuchh aur bhii duur ho gayaa huu.N
Athar Nafees
vo ishq jo ham se ruuTh gayaa ab us kaa haal bataayeN kyaa
vo ishq jo ham se ruuTh gayaa ab us kaa haal bataaye.N kyaa 
ko_ii mehar nahii.n ko_ii qahar nahii.n phir sachchaa sher sunaaye.N kyaa 

ik hijr jo ham ko laahak hai taa der use doharaaye.N kyaa 
vo zahar jo dil me.n utaar liyaa phir us ke naaz uThaaye.N kyaa 

ik aag Gam-e-tanhaa_ii kii jo saare badan me.n phail ga_ii 
jab jism hii saaraa jalataa ho phir daaman-e-dil ko bachaaye.N kyaa 

ham naGmaasaraa kuchh Gazalo.n ke ham surat_gar kuchh Khvaabo.n ke 
bejazbaa-e-shauq sunaaye.N kyaa ko_ii Khvaab na ho to bataaye.N kyaa 

Athar Nafees
dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
vaqt ik din chiin kar saare hunar le jaayegaa

[azm-e-safar =strength to travel; hunar = knowledge/skills]

haa.N duaa maa.Ngii thii lekin ye to sochaa bhii na thaa
mausam-e-barasaat sab diivaar-o-dar le jaayegaa

aaj is titalii ko in phuulo.n pe u.Dane diijiye
kal ko_ii jho.nkaa havaa kaa is ke par le jaayegaa

[titalii = butterfly; par = wing]

tuu kisii andhe kuye.N me.n jaaye to ye jaan le
saath saath apane ye merii bhii nazar le jaayegaa

[ku_aa.N = well; nazar = sight]

duusaro.n ke ghar me.n patthar phe.nkane vaale ye soch
tuu bachaa kar kis tarah shiishe kaa ghar le jaayegaa

shahar kii sa.Dako.n pe mere saath mat nikalo abhii
jo bhii dekhegaa u.Daa kar ye Khabar le jaayegaa

sar-bulandii jis kaa manasab hai vo jhuk sakataa nahii.n
dast-e-qaatil us kaa Khud neze pe sar le jaayegaa

[sar-bulandii = to keep one's head high]
[dast-e-qaatil = hands of the killer; nezaa = spear]
Ameem Amrohvi
firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye
firaaq se bhii gaye ham visaal se bhii gaye 
subuk huye hai.n to aish-e-malaal se bhii gaye 

jo but-kade me.n the vo sahibaan-e-kashf-o-kamaal 
haram me.n aaye tp kashf-o-kamaal se bhii gaye 

usii nigaah kii narmii se Dag-magaa gaye qadam 
usii nigaah ke tevar sambhaal se bhii gaye 

Gam-e-hayaat-o-Gam-e-dost kii kashaakash me.n 
ham aise log to ra.nj-o-malaal se bhii gaye 

vo log jin se terii bazm me.n the ha.ngaame 
gaye to kyaa terii bazm-e-Khayaal se bhii gaye 

ham aise kaun the lekin qafas ki ye duniyaa 
ke par-shikasto.n me.n apanii misaal se bhii gaye 

charaag-e-bazm abhii jaan-e-a.njuman na bujhaa 
ke ye bujhaa to tere khad-o-Khaal se bhii gaye 
Aziz Hamid Madni
zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n
zulm ke paao.n se jo phuul masal jaate hai.n 
Khaar ban kar vahii patthar pe nikal aate hai.n 
 
phir bahaaro.n kii zaruurat nahii.n rahatii un ko 
ye Khizaa.N me.n bhii ba.Dii shaan se khil jaate hai.n 

Guu.Nche vo milatii nahii.n hai jinhe.n aagosh ko_ii 
vahii miTate hai.n to kiicha.D me.n kamal aate hai.n 

Dab-Dabaa_ii hu_ii aa.Nkho.n me.n na aa.Nnkhe.n Daalo 
in me.n tuufaan hai.n chhe.D se machal jaate hai.n 

vo jo kal raunaq-e-faanuus thii aiwaan ke liye 
aaj us shammaa se aiwaan dahal jaate hai.n 

dhuup thii tez to saaye bhii the paro.n ke tale 
is ke Dhalate hii ruKh in ke bhii badal jaate hai.n 

hamane samajhaa hai zamaane ko ba.Dii der ke baad 
ye vo Kha.njar hai.n jo apano pe bhii chal jaate hai.n 

hamako aataa nahii.n zaKhmo.n kii numaa_ish karanaa 
Khud hii rote hai.n ta.Dapate hai.n bahal jaate hai.n 

jo samajhate hai.n hawabis ko vo khilona kii tarah 
un se tuufaan bhii bach-bach ke nikal jaate hai.n 
 
azm-vaale kabhii himmat nahii.n haaraa karate 
ashk 'Azra' ke ye kah kah ke samhal jaate hai.n 

Friends Sms

1:
The Word 'Hello' means H=How R U? E=Everything all right? L=Like 2 hear 4rm U. L=Love 2 C U soon. O=Obviously, I miss you
2: ''Stars are seen together, yet they r so far apart...
good friends may not speak everyday, but remember they r always linked HEART TO HEART !"------

3: Someday whn d Pages of My Life End I know tht U'll b 1 of its most Beautiful Chapters..
& if evr I get to Read it agn, I'll Open it frm d Page whr I 1st Met U..

4: Life spend wth sum1 mayb meaningles..
bt
FEW MOMENTS SPEND WTH SUM1 WHO REALLY LOVES U OR WHOM U LOVE,
IS
MORE THAN LIFE ITSELF

5: We are not too close in distance.
We're not too near in miles.
But text can still touch our hearts and thoughts can bring us smiles.
 

6: Soft speech
Clean heart
Peaceful eyes
Strong hands
Focused mind
&
Determined decision wit GOD's love ...
Always makes
U
Winner in life...

7: One who smokes get a smoky heart one who drinks get an alcholic heart
so dear u must stop eating sweets coz u r already a sweet heart.

8: Those Sparkling Eyes

That Amazing Face

A 100watt smile

The Enthu Stride

The Cheerful Talk

Charming stud

I'm still The same

hw r u?...wts up?

9: As i watchd d ants crawl up d wall i noticed dat no matter how bsy dey r,
dey stil stop & communicate wid 1 another. Hope v can b like them.

10: 9 Planets
8 Directions
7 Wonders
6 Senses
5 Pandavas
4 Seasons
3 choices
2 Genders

And

1 Sweet friend Like U to live a happy life

11:  Ur sms is pacemaker of my heart..

Ur miss call is beat of my heart..

Ur call is blood circulation of my heart..